Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai meri jaan meri aankhon ki raushni sun to

Moni Gopal Tapish

ai meri jaan meri aankhon ki raushni sun to

Moni Gopal Tapish

MORE BYMoni Gopal Tapish

    ai merī jaañ mirī āñkhoñ raushnī sun to

    jo zaḳhm ne diye maiñ ne gul banā Daale

    mahak rahe haiñ vahī sher ban ke sāñsoñ meñ

    tire laboñ ne ka.ī giit mujh ko baḳhshe haiñ

    tire jism jaadū jagā hai nazmoñ meñ

    ai merī jaañ mirī ġhazloñ naġhmagī sun to

    aaj bhī mire hamrāh ham-navā hai mirī

    tire naam pe dil ab talak dhaḌaktā hai

    maiñ tujh ko bhuul gayā ye ḳhayāl hai terā

    ye soch hai tirī be-ma.anī be sabab sun to

    ai merī jaañ mirī ġhazloñ tāzgī sun to

    ai meri jaan meri aankhon ki raushni sun to

    jo zaKHm tu ne diye main ne gul bana Dale

    mahak rahe hain wahi sher ban ke sanson mein

    tere labon ne kai git mujh ko baKHshe hain

    tere hi jism ka jadu jaga hai nazmon mein

    ai meri jaan meri ghazlon ki naghmagi sun to

    tu aaj bhi mere hamrah ham-nawa hai meri

    tere hi nam pe dil ab talak dhaDakta hai

    main tujh ko bhul gaya ye KHayal hai tera

    ye soch hai teri be-mani be sabab sun to

    ai meri jaan meri ghazlon ki tazgi sun to

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now