Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai mere chaaragaro isa-nafas

Shehzad Anjum Burhani

ai mere chaaragaro isa-nafas

Shehzad Anjum Burhani

MORE BYShehzad Anjum Burhani

    ai mire chāragaro īsā-nafas

    āsmānoñ se pare anfus-o-āfāq sarhad se udhar

    merī parvāz mirī rāhguzar jaatī thī

    ḳhvāhish-e-duniyā-o-tan-āsānī

    noch Dālegī mire par mujhe mā'lūm na thā

    ab rag-o-pai meñ lahū hai na koī aag na sozish baaqī

    biphrī maujoñ ne sukūñ oḌh liyā hai kab

    sāhil-e-jāñ pe kisī nam nishāñ tak bhī nahīñ

    aag zikr kyā koī dhuāñ tak bhī nahīñ

    sarsar-e-vaqt ne andāz badal Daale haiñ

    ḳhaak ab ḳhaak ḳhurāk huī jaatī hai

    ai mere chaaragaro isa-nafas

    aasmanon se pare anfus-o-afaq ki sarhad se udhar

    meri parwaz meri rahguzar jati thi

    KHwahish-e-duniya-o-tan-asani

    noch Dalegi mere par mujhe ma'lum na tha

    ab rag-o-pai mein lahu hai na koi aag na sozish baqi

    biphri maujon ne sukun oDh liya hai kab ka

    sahil-e-jaan pe kisi nam ka nishan tak bhi nahin

    aag ka zikr hi kya koi dhuan tak bhi nahin

    sarsar-e-waqt ne andaz badal Dale hain

    KHak ab KHak ki KHurak hui jati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now