ai nae sal bata tujh mein naya-pan kya hai
ai na.e saal batā tujh meñ nayā-pan kyā hai
har taraf ḳhalq ne kyoñ shor machā rakhā hai
raushnī din kī vahī tāroñ bharī raat vahī
aaj ham ko nazar aatī hai har ek baat vahī
āsmān badlā hai afsos nā badlī hai zamīñ
ek hindise kā badalnā koī jiddat to nahīñ
agle barsoñ kī tarah hoñge qarīne tere
kise mālūm nahīñ bārah mahīne tere
january february march meñ paḌegī sardī
aur april may june meñ ho gī garmī
terā man dahr meñ kuchh kho.egā kuchh pā.egā
apnī mī.ād basar kar ke chalā jā.egā
tū nayā hai to dikhā sub.h na.ī shaam na.ī
varna in āñkhoñ ne dekhe haiñ na.e saal ka.ī
be-sabab log kyoñ dete haiñ mubārak-bādeñ
ġhāliban bhuul ga.e vaqt kī kaḌvī yādeñ
terī aamad se ghaTī umr jahāñ se sab kī
'faiz' ne likkhī hai ye nazm nirāle Dhab kī
ai nae sal bata tujh mein naya-pan kya hai
har taraf KHalq ne kyon shor macha rakha hai
raushni din ki wahi taron bhari raat wahi
aaj hum ko nazar aati hai har ek baat wahi
aasman badla hai afsos na badli hai zamin
ek hindise ka badalna koi jiddat to nahin
agle barson ki tarah honge qarine tere
kise malum nahin barah mahine tere
january february march mein paDegi sardi
aur april may june mein ho gi garmi
tera man dahr mein kuchh khoega kuchh paega
apni miad basar kar ke chala jaega
tu naya hai to dikha subh nai sham nai
warna in aankhon ne dekhe hain nae sal kai
be-sabab log kyon dete hain mubarak-baaden
ghaaliban bhul gae waqt ki kaDwi yaaden
teri aamad se ghaTi umr jahan se sab ki
'faiz' ne likkhi hai ye nazm nirale Dhab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.