Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa bhi nahin ki

Ahmad Hamesh

aisa bhi nahin ki

Ahmad Hamesh

MORE BYAhmad Hamesh

    aisā bhī nahīñ ki mujhe zindagī ke peḌ ke paas

    be-ās aur be-sahārā chhoḌ diyā gayā ho

    maiñ ne abhī abhī gilahriyoñ āvāz sunī hai

    gilahriyāñ mere liye

    bahisht ke aḳhroT rahī haiñ

    sivā.e is ke ki ādam-zād kahīñ dikhā.ī nahīñ detā

    magar jañgal bol rahā hai ki is ke bol meñ

    merī bichhḌī huī āvāz shāmil hai

    mere bāl-bachchoñ pyaar shāmil hai

    sivā.e is ke ki jin logoñ ne mujhe be-nām

    jazīroñ meñ le jaane va.ada kiyā thā

    vo ab kahīñ dikhā.ī nahīñ diye

    to ab maiñ kis se kahūñ

    ki kahne sunñe vaalā zindagī nizām to baaqī nahīñ rahā

    avaa.e us ke ki miTTī kah rahī hai

    ki vo an-ginat peḌ paude tab ugā.egī

    jab maiñ yahāñ hūñgā nahīñ

    aisa bhi nahin ki mujhe zindagi ke peD ke pas

    be-as aur be-sahaara chhoD diya gaya ho

    main ne abhi abhi gilahriyon ki aawaz suni hai

    gilahriyan mere liye

    bahisht ke aKHroT la rahi hain

    siwae is ke ki aadam-zad kahin dikhai nahin deta

    magar jangal bol raha hai ki is ke bol mein

    meri bichhDi hui aawaz shamil hai

    mere baal-bachchon ka pyar shamil hai

    siwae is ke ki jin logon ne mujhe be-nam

    jaziron mein le jaane ka wada kiya tha

    wo ab kahin dikhai nahin diye

    to ab main kis se kahun

    ki kahne sunne wala zindagi ka nizam to baqi nahin raha

    awae us ke ki miTTi kah rahi hai

    ki wo an-ginat peD paude tab ugaegi

    jab main yahan hunga hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now