Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab hai khel carrom ka

Ibn-e-Mufti

ajab hai khel carrom ka

Ibn-e-Mufti

MORE BYIbn-e-Mufti

    safed aur siyāh goToñ ke hasīñ ik dā.ere andar

    bahut surḳh rañgat hasīñ ik goT hotī hai

    ki jis ko raanī kahte haiñ

    har ik khelne vaale bas ik tamannā hai

    isī carrom ke konoñ meñ jo chhoTe chhoTe kamre haiñ

    unheñ ābād karnā hai kanīzoñ se aur raanī se

    khilāḌī chaal chaltā hai stricker madad se

    āmad-o-raft un kanīzoñ

    lagī rahtī hai kamroñ meñ

    kahīñ gorī kahīñ kaalī kabhī raanī

    ajab hai khel carrom

    har ik yaañ khelne vaalā isī dhun meñ hai sargardāñ

    isī kāvish meñ rahtā hai

    kisī tarah se raanī ko vo us jānib ko le jaa.e

    jo us jiit ghar hai hai maskan us fat.h

    mahal jo hai tamannā jo us rājdhānī hai

    jahāñ pe ke ye raanī usī ho ke rah jaa.e

    ajab hai khel carrom

    udhar raanī sharteñ haiñ karegā jo bhī puurī ye

    to raanī tab jā.egī

    lo us shart bhī sun lo ki

    kanīz-e-ḳhās ko le kar raanī aap hogī

    karegī kamre ruḳh jab kanīz-e-ḳhās hamrāh ho

    siyāh ho chāhe gorī ho magar vo saath meñ jaa.e

    ajab hai khel carrom

    mujhe raanī shartoñ par baḌā pyaar aayā hai

    khilāḌī to nahīñ raanī magar raanī to hai āḳhir

    humā fat.h-o-nusrat

    aur akasr kāmrānī

    usī ke sar pe jaatā hai

    ki jis ke paas raanī hai

    ka.ī tarah se dekho to

    bahut haiñ zāviye us meñ

    bahut asbāq haiñ us meñ

    darīche zehn ke khole

    ajab hai khel carrom

    kabhī raanī ke hote bhī

    shikast-e-fāsh hotī hai

    kabhī raanī ke hone se

    muqaddar jagmagā uTThe

    muzaffar aap ko kar de

    kabhī raanī to miltī hai magar

    tum haar jaate ho

    kabhī aisā bhī hotā hai

    koī raanī ko na kar

    bhī tum se jiit jaatā hai

    ajab hai khel carrom

    safed aur siyah goTon ke hasin ek daere andar

    bahut hi surKH rangat ki hasin ek goT hoti hai

    ki jis ko rani kahte hain

    har ek khelne wale ki bas ek hi tamanna hai

    isi carrom ke konon mein jo chhoTe chhoTe kamre hain

    unhen aabaad karna hai kanizon se aur rani se

    khilaDi chaal chalta hai stricker ki madad se

    aamad-o-raft un kanizon ki

    lagi rahti hai kamron mein

    kahin gori kahin kali kabhi rani

    ajab hai khel carrom ka

    har ek yan khelne wala isi dhun mein hai sargardan

    isi kawish mein rahta hai

    kisi tarah se rani ko wo us jaanib ko le jae

    jo us ki jit ka ghar hai hai maskan us ki fath ka

    mahal jo hai tamanna ka jo us ki rajdhani hai

    jahan pe ja ke ye rani usi ki ho ke rah jae

    ajab hai khel carrom ka

    udhar rani ki sharten hain karega jo bhi puri ye

    to rani tab hi jaegi

    lo us ki shart bhi sun lo ki

    kaniz-e-KHas ko le kar hi rani aap ki hogi

    karegi kamre ka ruKH jab kaniz-e-KHas hamrah ho

    siyah ho chahe gori ho magar wo sath mein jae

    ajab hai khel carrom ka

    mujhe rani ki sharton par baDa hi pyar aaya hai

    khilaDi to nahin rani magar rani to hai aaKHir

    huma fath-o-nusrat ka

    aur akasr kaamrani ka

    usi ke sar pe jata hai

    ki jis ke pas rani hai

    kai tarah se dekho to

    bahut hain zawiye us mein

    bahut asbaq hain us mein

    dariche zehn ke khole

    ajab hai khel carrom ka

    kabhi rani ke hote bhi

    shikast-e-fash hoti hai

    kabhi rani ke hone se

    muqaddar jagmaga uTThe

    muzaffar aap ko kar de

    kabhi rani to milti hai magar

    tum haar jate ho

    kabhi aisa bhi hota hai

    koi rani ko na pa kar

    bhi tum se jit jata hai

    ajab hai khel carrom ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now