Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib aadmi tha wo

Javed Akhtar

ajib aadmi tha wo

Javed Akhtar

MORE BYJaved Akhtar

    Interesting Fact

    Dedicated to his father-in-law Kaifi Azmi

    ajiib aadmī thā vo

    mohabbatoñ giit thā

    baġhāvatoñ raag thā

    kabhī vo sirf phuul thā

    kabhī vo sirf aag thā

    ajiib aadmī thā vo

    vo muflisoñ se kahtā thā

    ki din badal bhī sakte haiñ

    vo jābiroñ se kahtā thā

    tumhāre sar pe sone ke jo taaj haiñ

    kabhī pighal bhī sakte haiñ

    vo bandishoñ se kahtā thā

    maiñ tum ko toḌ saktā huuñ

    sahūlatoñ se kahtā thā

    maiñ tum ko chhoḌ saktā huuñ

    havāoñ se vo kahtā thā

    maiñ tum ko moḌ saktā huuñ

    vo ḳhvāb se ye kahtā thā

    ki tujh ko sach karūñgā maiñ

    vo ārzūoñ se kahtā thā

    maiñ terā ham-safar huuñ

    tere saath chalūñgā maiñ

    chāhe jitnī duur bhī banā le apnī manzileñ

    kabhī nahīñ thakūñgā maiñ

    vo zindagī se kahtā thā

    ki tujh ko maiñ sajā.ūñgā

    mujh se chāñd maañg le

    maiñ chāñd le ke ā.ūñgā

    vo aadmī se kahtā thā

    ki aadmī se pyaar kar

    ujaḌ rahī hai ye zamīñ

    kuchh is ab siñghār kar

    ajiib aadmī thā vo

    vo zindagī ke saare ġham

    tamām dukh

    har ik sitam se kahtā thā

    maiñ tum se jiit jā.ūñgā

    ki tum ko to miTā degā

    ek roz aadmī

    bhulā degā ye jahāñ

    mirī alag hai dāstāñ

    vo āñkheñ jin meñ ḳhvāb haiñ

    vo dil hai jin meñ aarzū

    vo baazū jin meñ hai sakat

    vo hoñT jin pe lafz haiñ

    rahūñgā un ke darmiyāñ

    ki jab maiñ biit jā.ūñgā

    ajiib aadmī thā vo

    ajib aadmi tha wo

    mohabbaton ka git tha

    baghawaton ka rag tha

    kabhi wo sirf phul tha

    kabhi wo sirf aag tha

    ajib aadmi tha wo

    wo muflison se kahta tha

    ki din badal bhi sakte hain

    wo jabiron se kahta tha

    tumhaare sar pe sone ke jo taj hain

    kabhi pighal bhi sakte hain

    wo bandishon se kahta tha

    main tum ko toD sakta hun

    sahulaton se kahta tha

    main tum ko chhoD sakta hun

    hawaon se wo kahta tha

    main tum ko moD sakta hun

    wo KHwab se ye kahta tha

    ki tujh ko sach karunga main

    wo aarzuon se kahta tha

    main tera ham-safar hun

    tere sath hi chalunga main

    tu chahe jitni dur bhi bana le apni manzilen

    kabhi nahin thakunga main

    wo zindagi se kahta tha

    ki tujh ko main sajaunga

    tu mujh se chand mang le

    main chand le ke aaunga

    wo aadmi se kahta tha

    ki aadmi se pyar kar

    ujaD rahi hai ye zamin

    kuchh is ka ab singhaar kar

    ajib aadmi tha wo

    wo zindagi ke sare gham

    tamam dukh

    har ek sitam se kahta tha

    main tum se jit jaunga

    ki tum ko to miTa hi dega

    ek roz aadmi

    bhula hi dega ye jahan

    meri alag hai dastan

    wo aankhen jin mein KHwab hain

    wo dil hai jin mein aarzu

    wo bazu jin mein hai sakat

    wo honT jin pe lafz hain

    rahunga un ke darmiyan

    ki jab main bit jaunga

    ajib aadmi tha wo

    Source:

    LAVA (Pg. 115)

    • Author: Javed Akhtar
      • Edition: 2012
      • Publisher: Rajkamal Parakashan Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now