Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib hai ye silsila

Wazir Agha

ajib hai ye silsila

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    ajiib hai ye silsila

    ye silsila ajiib hai

    havā chale to ketiyoñ meñ dhuum chahchahoñ hai

    havā ruke to murdanī hai

    murdanī raakh nuzūl hai

    kahāñ hai kahāñ hai

    kahāñ nahīñ hai batā

    abhī thā tere girte uḌte āñchaloñ silsila

    aur ab ufuq par duur tak

    ga.e dinoñ dhuul hai

    ga.e dinoñ dhuul ye silsila fuzūl hai

    maiñ ro sakūñ

    to kyā ye gadlī kā.enāt dhul sakegī

    mere āñsuoñ ke jhaag se

    maiñ muskurā sakūñ

    to kyā safar ḳhastagī ko bhuul kar ye kārvāñ nujūm ke

    baras paḌeñge motiye ke phuul ban ke

    is muhīb kāsa-e-hayāt meñ

    na sune na maiñ kahūñ

    na mere añg añg se sadā uThe

    yuuñ maiñ āñsuoñ ko qahqahoñ ko

    apne dil meñ dafan kar ke

    gum

    laboñ pe sil dhare

    tire nagar meñ pā-piyāda pā-barahna

    shaam ke fishār tak ravāñ rahūñ

    magar kabhī

    tirī nazar ke āstāñ ko

    paar tak na kar sakūñ

    ki azal se tā-abad

    hazār sad hazār aañkh vaale vaqt

    naqīb hai

    ye silsila ajiib hai

    ye silsila ajiib hai

    ajib hai ye silsila

    ye silsila ajib hai

    hawa chale to ketiyon mein dhum chahchahon ki hai

    hawa ruke to murdani hai

    murdani ki rakh ka nuzul hai

    kahan hai tu kahan hai tu

    kahan nahin hai tu bata

    abhi tha tere girte uDte aanchalon ka silsila

    aur ab ufuq par dur tak

    gae dinon ki dhul hai

    gae dinon ki dhul ka ye silsila fuzul hai

    main ro sakun

    to kya ye gadli kaenat dhul sakegi

    mere aansuon ke jhag se

    main muskura sakun

    to kya safar ki KHastagi ko bhul kar ye karwan nujum ke

    baras paDenge motiye ke phul ban ke

    is muhib kasa-e-hayat mein

    na tu sune na main kahun

    na mere ang ang se sada uThe

    yun hi main aansuon ko qahqahon ko

    apne dil mein dafan kar ke

    gum

    labon pe sil dhare

    tere nagar mein pa-piyaada pa-barahna

    sham ke fishaar tak rawan rahun

    magar kabhi

    teri nazar ke aastan ko

    par tak na kar sakun

    ki tu azal se ta-abad

    hazar sad hazar aankh wale waqt

    ki naqib hai

    ye silsila ajib hai

    ye silsila ajib hai

    Source:

    Nirdbaan (Pg. 32)

    • Author: Wazir Agha
      • Edition: 1979
      • Publisher: Nusrat Anwar
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now