Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajnabi moD par

Sajida Zaidi

ajnabi moD par

Sajida Zaidi

MORE BYSajida Zaidi

    hai kahāñ vo samāñ

    dard ke nuur meñ dhul ke nikhre hue jism-o-jāñ

    be-hisī chaTāneñ girātī huī

    raah sañg-e-ḳhār haTātī huī

    karb-e-taḳhlīq naddiyāñ

    ruuh ke zaḳhm dhotī huī

    tund jazbāt badliyāñ

    ābshār-e-ravāñ

    vo matā-e-girāñ

    roz-o-shab faromāya gardān meñ kho ga.ī

    lazzat-e-vasl bekalī

    hijr-e-betāb raushnī

    manzil-e-be-nishāñ kasak

    an-sune giit naġhmagī

    dasht-e-ayyām ke jaane kis moḌ par

    ajnabī rahguzāroñ meñ gum ho ga.ī

    dil gayā dil vo be-qarārī ga.ī

    qalb-e-majrūh sogvārī ga.ī

    nāla-e-shab gayā be-sabab ashk-bārī ga.ī

    jāgne ke jo āsār the so ga.e

    sub.h-o-shām ajnabī ho ga.e

    ai ḳhudā

    ai ḳhudā

    azhdahām-e-tijārat meñ batā

    ḳhvāb āñkhoñ meñ kaise basā.eñge ham

    kaun raah par

    garm ashkoñ ke motī bichhā.eñge ham

    aah kis aarzū ke liye

    sar-e-mizhgāñ charāġh-e-basīrat jalā.eñge ham

    ishq meñ kis tasavvur ke

    ab jaañ se jā.eñge ham

    hai kahan wo saman

    dard ke nur mein dhul ke nikhre hue jism-o-jaan

    be-hisi ki chaTanen giraati hui

    rah sang-e-KHar haTati hui

    karb-e-taKHliq ki naddiyan

    ruh ke zaKHm dhoti hui

    tund jazbaat ki badliyan

    aabshaar-e-rawan

    wo mata-e-giran

    roz-o-shab ki faromaya gardan mein kho gai

    lazzat-e-wasl ki bekali

    hijr-e-betab ki raushni

    manzil-e-be-nishan ki kasak

    an-sune git ki naghmagi

    dasht-e-ayyam ke jaane kis moD par

    ajnabi rahguzaron mein gum ho gai

    dil gaya dil ki wo be-qarari gai

    qalb-e-majruh ki sogwari gai

    nala-e-shab gaya be-sabab ashk-bari gai

    jagne ke jo aasar the so gae

    subh-o-sham ajnabi ho gae

    ai KHuda

    ai KHuda

    azhdaham-e-tijarat mein tu hi bata

    KHwab aankhon mein kaise basaenge hum

    kaun si rah par

    garm ashkon ke moti bichhaenge hum

    aah kis aarzu ke liye

    sar-e-mizhgan charagh-e-basirat jalaenge hum

    ishq mein kis tasawwur ke

    ab jaan se jaenge hum

    Source:

    Aatish Zeer-e-paa (Pg. 63)

    • Author: Sajidah Zaidi
      • Edition: 1995
      • Publisher: Sajidah Zaidi, Aligarah
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now