aKHbar-nawiso
sirf chaar chehre 'aurat ke
aKHbar ke pahle safhe par
'aurat ki numaindagi nahin karte
qalam tumhaara ahata-e-tahrir mein la sakta nahin un chehron ko
na camera hi koi taswir khinch sakta hai un chehron ki
jo kisi tarke mein hain chhupe hue aur matruk hain
jo zar aur zamin ka zawiya hain tisra
samaj ke ‘alam-bardaro
kachche chehre ki winni bhi hai kahin
kari ka adh jala gulab bhi
gham ki haweliyan bhi hain farsh-e-zat mein uljhi huin
rahdariyon mein hain ghumte
tin harf iqrar ke
suraj bhi hain chhupe hue hatheliyon ki oT mein
raushni jin ke guman ki siyah zulmaton mein kho chuki
qindil-e-zindagi ki aas mein
mere danishwaro
tahaffuz-e-huquq-e-niswan ka seminar ho
ya dastar walon ke bayan
chaar chehre 'aurat ke hon
ya ek tariKH calendar ki
bhala kaise
sadiyon ki chup ke bhed khol paenge