Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

al-butra

Iftikhar Bukhari

al-butra

Iftikhar Bukhari

MORE BYIftikhar Bukhari

    kitne samundar

    kitne sahrā

    jangal aur bārisheñ

    be-shumār ā.īnoñ ḳhālī-pan

    lamhe sadiyāñ

    ubuur kar ke

    dāḳhil huī

    merī tanhā.ī

    terī tanhā.ī meñ

    ai shahar-e-gul-e-surḳh

    ai aziim ḳhūbsūrat patthar

    mujhe ḳhazāne se

    koī sarokār nahīñ

    jahāñ khūñTe se bañdhā

    laal ghoḌā

    te.iis sau baras

    be-ḳhvābī meñ

    īstāda hai

    mujhe faqat terī udaas raat

    ek konā darkār hai

    ki merī ḳhāmoshī

    terī ḳhāmoshī se kalām kare

    mere paas afsos kahānī hai

    jise sun kar qadīm chāñd

    ret ke aañsū bahā.egā

    ki tere mātamī gulāb sairāb hoñ

    uḌte zamānoñ dhajjiyāñ

    gum-shuda umroñ rā.igānī

    tārīḳh munāfiq almāriyoñ meñ

    laTakte ustuḳhvāñ

    mujhe amānat-dār pā.eñge

    barbād dīvāroñ ḳharāshoñ se

    jhāñktā inhimāk nahīñ TūTegā

    ai gulāb shahr

    maiñ be-zabān qissa-go

    ek shab-basarī savālī huuñ

    tere sangīn darvāze par

    maiñ tujhe tere jaisā

    apnā dil hadiya karūñgā

    patthar gulāb

    tujhe ḳhāmosh dāstān sunā.ūñgā

    kisī bahut qadīm zamāne

    gunāhgār ḳhudāoñ se duur

    ḳhālis ibādat guzār añdhere meñ

    sub.h-e-abad ke āḳhirī qahqahe se be-niyāz

    kitne samundar

    kitne sahra

    jangal aur barishen

    be-shumar aainon ka KHali-pan

    lamhe ya sadiyan

    ubur kar ke

    daKHil hui

    meri tanhai

    teri tanhai mein

    ai shahar-e-gul-e-surKH

    ai azim KHubsurat patthar

    mujhe KHazane se

    koi sarokar nahin

    jahan khunTe se bandha

    lal ghoDa

    teis sau baras

    ki be-KHwabi mein

    istada hai

    mujhe faqat teri udas raat ka

    ek kona darkar hai

    ki meri KHamoshi

    teri KHamoshi se kalam kare

    mere pas afsos ki kahani hai

    jise sun kar qadim chand

    ret ke aansu bahaega

    ki tere matami gulab sairab hon

    uDte zamanon ki dhajjiyan

    gum-shuda umron ki raigani

    tariKH ki munafiq almariyon mein

    laTakte ustuKHwan

    mujhe amanat-dar paenge

    barbaad diwaron ki KHarashon se

    jhankta inhimak nahin TuTega

    ai gulab shahr

    main be-zaban qissa-go

    ek shab-basari ka sawali hun

    tere sangin darwaze par

    main tujhe tere jaisa

    apna dil hadiya karunga

    patthar ka gulab

    tujhe KHamosh dastan sunaunga

    kisi bahut qadim zamane ki

    gunahgar KHudaon se dur

    KHalis ibaadat guzar andhere mein

    subh-e-abad ke aaKHiri qahqahe se be-niyaz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now