Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

alamiya

Ekram Khawar

alamiya

Ekram Khawar

MORE BYEkram Khawar

    merī shorish judā āñkhoñ ne mujh se yuuñ kahā kal shab

    ye dhīmī aañch jalnā tujhe dīvāna kar degā

    maiñ kyā kartā kahāñ jaatā

    ki haa.il thā mire siine meñ ik mahbūs sannāTā

    ta.ayyun kaun kartā ham kahāñ par ḳhema-zan haiñ

    musallat hai saroñ par kaun manhūs saayā

    aur aise meñ talātum roz-o-shab terī lagan

    jaan levā hai

    baḌe jāñ-gusil haiñ terī chāhat ke sanam-ḳhāne

    mohabbat ḳhūn-e-dil kyoñ hai

    tamannā soz-e-jāñ kyoñ hai

    rafīqān-e-safar itnā batānā

    aarzū ek alamiya kyoñ hai

    meri shorish juda aankhon ne mujh se yun kaha kal shab

    ye dhimi aanch ka jalna tujhe diwana kar dega

    main kya karta kahan jata

    ki hail tha mere sine mein ek mahbus sannaTa

    tayyun kaun karta hum kahan par KHema-zan hain

    musallat hai saron par kaun sa manhus saya

    aur aise mein talatum roz-o-shab teri lagan ka

    jaan lewa hai

    baDe hi jaan-gusil hain teri chahat ke sanam-KHane

    mohabbat KHun-e-dil kyon hai

    tamanna soz-e-jaan kyon hai

    rafiqan-e-safar itna batana

    aarzu ek alamiya kyon hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now