Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aligaDh uniwersity

Anjum Azmi

aligaDh uniwersity

Anjum Azmi

MORE BYAnjum Azmi

    markaz-e-ilm-o-hunar mai-kada-e-soz-o-sāz

    sajda-e-shauq se ābād hai rindoñ haram

    jām-dar-jām hai sahbā-e-junūn-e-hikmat

    dekhnā ho to koī dekh le saaqī karam

    mai-gusārī ye andāz na dekhā ham ne

    sab ke dukh dard ehsās nashe aalam

    ek aag se har ruuh jilā paatī hai

    ho ga.e ek sho.ale meñ sharāre mudġham

    apne har daur tahrīk ā.īna liye

    phir uThātā hai aligaḌh na.ī duniyā meñ qadam

    raah dushvār meñ ik kāfila-e-nik.hat-o-nūr

    sañg-e-ḳhārā chaTānoñ ke muqābil hai khaḌā

    TuuT jā.egā bahut jald tilism-e-imroz

    nūr-e-fardā ke tabassum meñ badal jā.egā

    markaz-e-ilm-o-hunar mai-kada-e-soz-o-saz

    sajda-e-shauq se aabaad hai rindon ka haram

    jam-dar-jam hai sahba-e-junun-e-hikmat

    dekhna ho to koi dekh le saqi ka karam

    mai-gusari ka ye andaz na dekha hum ne

    sab ke dukh dard ka ehsas nashe ka aalam

    ek hi aag se har ruh jila pati hai

    ho gae ek hi shoale mein sharare mudgham

    apne har daur ki tahrik ka aaina liye

    phir uThata hai aligaDh nai duniya mein qadam

    rah dushwar mein ek kafila-e-nikhat-o-nur

    sang-e-KHara ki chaTanon ke muqabil hai khaDa

    TuT jaega bahut jald tilism-e-imroz

    nur-e-farda ke tabassum mein badal jaega

    Source:

    Lahu ke Charagh (Pg. E-35 B-34)

    • Author: Anjum Azmi
      • Edition: 1961
      • Publisher: Karachi Art Academy, Karachi
      • Year of Publication: 1961
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now