Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

allahabadi ki nakaami ki aaKHiri nazm

Salahuddin Parvez

allahabadi ki nakaami ki aaKHiri nazm

Salahuddin Parvez

MORE BYSalahuddin Parvez

    Interesting Fact

    1969

    aag ik do lakīreñ

    chhe lakīreñ das lakīreñ

    haath maujoñ se milne rahī haiñ

    haath maujoñ meñ marne rahī haiñ

    ghar basānā khel kaisā ḳhud-kushī hai

    ghar naddī meñ nahāne amal ik sar-kashī hai

    baaġh meñ nange qadam chalnā sharārat ḳhushī hai

    be-vaqūfī bevafā.ī

    āj-kal ik baañs par chaḌh kar

    sitāre khā rahī hai

    bhuul jaao

    kaun tum ho

    kaun maiñ huuñ

    kaun vo thā

    kyūñki afsānoñ se rang-e-dostī tabdīl hogā

    chāñd kaT kar sub.h ke tan par giregā

    aur sūraj shaam ke māthe nam Tikiyā banegā

    aaj tum us ghar ke darvāze pe likh do

    vo salāhuddīn

    jo 'parvez' bhī hai

    aaj jantā se aligarh rahā hai

    aag ki ek do lakiren

    chhe lakiren das lakiren

    hath ki maujon se milne ja rahi hain

    hath ki maujon mein marne ja rahi hain

    ghar basana khel kaisa KHud-kushi hai

    ghar ki naddi mein nahane ka amal ek sar-kashi hai

    bagh mein nange qadam chalna shararat ki KHushi hai

    be-waqufi bewafai

    aaj-kal ek bans par chaDh kar

    sitare kha rahi hai

    bhul jao

    kaun tum ho

    kaun main hun

    kaun wo tha

    kyunki afsanon se rang-e-dosti tabdil hoga

    chand kaT kar subh ke tan par girega

    aur suraj sham ke mathe ki nam Tikiya banega

    aaj tum us ghar ke darwaze pe likh do

    wo salahuddin

    jo 'parwez' bhi hai

    aaj janta se aligarh ja raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now