Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

amn ki manzil ke rahi

Rifat Sarosh

amn ki manzil ke rahi

Rifat Sarosh

MORE BYRifat Sarosh

    amn manzil ke raahī giit gaatā chal

    zindagī ke pyaar mash.al jalātā chal

    azmateñ tārīḳh haiñ rahnumā terī

    barkateñ tahzīb haiñ ham-navā terī

    ham-qadam haiñ ahl-e-dil naġhme sunātā chal

    amn manzil ke raahī giit gaatā chal

    aadmī ke bhes meñ shaitān ā.eñge

    rāste meñ saikḌoñ tūfān ā.eñge

    magar in mushkiloñ par muskurātā chal

    amn manzil ke raahī giit gaatā chal

    kyoñ ḳhizāñ aa.e bhalā gulzār-e-hastī meñ

    kyoñ chaleñ ġham havā.eñ dil bastī meñ

    bahār-e-shauq ke ġhunche khilātā chal

    amn manzil ke raahī giit gaatā chal

    amn ki manzil ke rahi git gata chal

    zindagi ke pyar ki mashal jalata chal

    azmaten tariKH ki hain rahnuma teri

    barkaten tahzib ki hain ham-nawa teri

    ham-qadam hain ahl-e-dil naghme sunata chal

    amn ki manzil ke rahi git gata chal

    aadmi ke bhes mein shaitan aaenge

    raste mein saikDon tufan aaenge

    tu magar in mushkilon par muskuraata chal

    amn ki manzil ke rahi git gata chal

    kyon KHizan aae bhala gulzar-e-hasti mein

    kyon chalen gham ki hawaen dil ki basti mein

    tu bahaar-e-shauq ke ghunche khilata chal

    amn ki manzil ke rahi git gata chal

    Source:

    Raushni Ka Safar (Pg. 145)

    • Author: Rifat Sarosh
      • Publisher: Idaara-e-Ishat-e-Urdu, Amroha, U. P.
      • Year of Publication: 1974

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now