Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

an-paDh gunge ka rajaz

Ahmad Javaid

an-paDh gunge ka rajaz

Ahmad Javaid

MORE BYAhmad Javaid

    ḳhāmoshī merā lashkar hai

    lafzoñ daldal

    aur us meñ palne vaalī joñkeñ

    ye muta.affin āvāzeñ

    merī yalġhār ke aage sābit-qadam raheñgī?

    kyā tum vāqa.ī aisā samajhte ho

    ki tumhāre maidān itne farāḳh haiñ

    ki mere asp-e-asīl ko thakā deñge

    tumhāre samundar itne mavvāj haiñ

    ki merā rizq ulaT deñge

    aur tumhāre pahāḌ itne sañglāḳh haiñ

    ki merā jhanDā na thāmeñge

    dushman ahmaq ho to merā ġhussa baḌhā detā hai

    saqāhat merī muayyana maqtūl hai

    aur ḳhush-fahmī muqarrara mazbūh

    merī chiñghāḌ sūr-e-isrāfīl pesh-āhañg hai

    lafz minmināhaT se paak

    andhe sayyāroñ ke Takrāo māfauq-e-samā.at gaḌgaḌāhaT

    āvāz mukammal minhā.ī shor

    likhe hue lafz ko bhī shaq kar detā hai

    ye ibārateñ tumhārā saf-basta lashkar haiñ

    farzī hathiyāroñ se musallah ye lashkar

    jise ḳhayālī qiloñ ke brij girāne baḌā tajraba hai

    is nā-būdī merī ek chup ke fāsle par hai

    yaad! rakhnā

    mere paas koī rassī nahīñ hotī

    jo tumhāre gale meñ Dālne aur

    tumhāre haath bāñdhne ke kaam aa.e

    merā fitrāk hamesha ḳhālī rahtā hai

    aur mere qaid-ḳhāne kabhī ābād nahīñ rahe

    maiñ jañg se pahle dushman shumār kar letā huuñ

    phir maqtūlīn gintī nahīñ kartā

    sab jānte haiñ

    mujh par neza pheñkne vāloñ paspā.ī nā-tamām rahtī hai

    merī haibat se zamīn maqnātīs bantī hai

    aur havā kohrbā.ī kartī hai

    merā shikār bijliyāñ hāñktī haiñ

    maut merā tarkash uThā kar chaltī hai

    aur merā rath āñdhiyāñ khīñchtī haiñ

    lafzoñ ke maktūb jañgal itne ghane nahīñ haiñ

    ki tumheñ aag bārish se tar-ba-tar na hone deñ

    sarf-o-nahv sā.ebān itnā baḌā nahīñ hai

    ki sitāra-e-ajal tum se ojhal rah jaa.e

    kitāboñ se itnī ūñchī dīvār nahīñ bantī

    ki qitāl sannāTā phalāñg na sake

    kyā hasīn duniyā thī

    jise tum ne lafzoñ se dāġhdār kar diyā

    us ke tābinda āfāq

    in pinjroñ meñ ghaT kar sāqitushshams ho ga.e haiñ

    kaisī zinda zamīn thī

    jis meñ tum ne zahr bo diyā

    kaisā raushan āsmān thā

    jise tum tārīkī ke mafhūm meñ sarf kar chuke ho

    tum ne shu.ūr ko jhūTā

    aur fitrat ko gadlā kar diyā hai

    mahz zabān ke chaTḳhāre ke liye

    tum ne vajūd asās-ul-bait

    farhañgoñ ke mol bech khāyā

    maiñ kā.enāt bāzyābī ke liye niklā huuñ

    merā ḳhanjar lafz peT chaak karegā

    ma.anī zambīl phaaḌ Dālegā

    aur kazzāb ishāroñ ke haath qalam kar degā

    jinhoñ ne sayyāroñ ko gumrāh kar rakhā hai

    be-zabānoñ ko muzhda ho

    haqīqat aslī tanāzur bahāl hone ko hai

    tumhāre dushman fasīloñ ke tasavvur meñ mahsūr haiñ

    siyāh ā.īne ye maḳhlūq

    jis manhūs parchhā.īñ ne

    har taraf shor machā rakkhā hai

    ḳhud apnā madfan hai

    merī āḳhirī yalġhār se ho jā.eñge saare manāzir

    saarī āvāzeñ

    āzād

    nā-malfūz....

    KHamoshi mera lashkar hai

    lafzon ki daldal

    aur us mein palne wali jonken

    ye mutaffin aawazen

    meri yalghaar ke aage sabit-qadam rahengi?

    kya tum waqai aisa samajhte ho

    ki tumhaare maidan itne faraKH hain

    ki mere asp-e-asil ko thaka denge

    tumhaare samundar itne mawwaj hain

    ki mera rizq ulaT denge

    aur tumhaare pahaD itne sanglaKH hain

    ki mera jhanDa na thamenge

    dushman ahmaq ho to mera ghussa baDha deta hai

    saqahat meri muayyana maqtul hai

    aur KHush-fahmi muqarrara mazbuh

    meri chinghaD sur-e-israfil ka pesh-ahang hai

    lafz ki minminahaT se pak

    andhe sayyaron ke Takrao ki mafauq-e-samaat gaDgaDahaT

    aawaz ki mukammal minhai ka shor

    likhe hue lafz ko bhi shaq kar deta hai

    ye ibaraten tumhaara saf-basta lashkar hain

    farzi hathiyaron se musallah ye lashkar

    jise KHayali qilon ke brij girane ka baDa tajraba hai

    is ki na-budi meri ek chup ke fasle par hai

    yaad! rakhna

    mere pas koi rassi nahin hoti

    jo tumhaare gale mein Dalne aur

    tumhaare hath bandhne ke kaam aae

    mera fitrak hamesha KHali rahta hai

    aur mere qaid-KHane kabhi aabaad nahin rahe

    main jang se pahle hi dushman shumar kar leta hun

    phir maqtulin ki ginti nahin karta

    sab jaante hain

    mujh par neza phenkne walon ki paspai na-tamam rahti hai

    meri haibat se zamin maqnatis banti hai

    aur hawa kohrbai karti hai

    mera shikar bijliyan hankti hain

    maut mera tarkash uTha kar chalti hai

    aur mera rath aandhiyan khinchti hain

    lafzon ke maktub jangal itne ghane nahin hain

    ki tumhein aag ki barish se tar-ba-tar na hone den

    sarf-o-nahw ka saeban itna baDa nahin hai

    ki sitara-e-ajal tum se ojhal rah jae

    kitabon se itni unchi diwar nahin banti

    ki qital sannaTa phalang na sake

    kya hasin duniya thi

    jise tum ne lafzon se daghdar kar diya

    us ke tabinda aafaq

    in pinjron mein ghaT kar saqitushshams ho gae hain

    kaisi zinda zamin thi

    jis mein tum ne zahr bo diya

    kaisa raushan aasman tha

    jise tum tariki ke mafhum mein sarf kar chuke ho

    tum ne shuur ko jhuTa

    aur fitrat ko gadla kar diya hai

    mahz zaban ke chaTKHare ke liye

    tum ne wajud ka asas-ul-bait

    farhangon ke mol bech khaya

    main kaenat ki bazyabi ke liye nikla hun

    mera KHanjar lafz ka peT chaak karega

    mani ki zambil phaD Dalega

    aur kazzab ishaaron ke hath qalam kar dega

    jinhon ne sayyaron ko gumrah kar rakha hai

    be-zabanon ko muzhda ho

    haqiqat ka asli tanazur bahaal hone ko hai

    tumhaare dushman fasilon ke tasawwur mein mahsur hain

    siyah aaine ki ye maKHluq

    jis ki manhus parchhain ne

    har taraf shor macha rakkha hai

    KHud hi apna madfan hai

    meri aaKHiri yalghaar se ho jaenge sare manazir

    sari aawazen

    aazad

    na-malfuz

    Source:

    andhi ka rajz (Pg. 79)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now