Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ana aur mohabbat

Khalid Mubashshir

ana aur mohabbat

Khalid Mubashshir

MORE BYKhalid Mubashshir

    ye maiñ ki mujh se chhin gayā hai sar-basar

    vo kaun hai ki jis dastaras meñ aa ke maiñ mirā nahīñ rahā

    mujhe to maiñ tamām kā.enāt se aziiz thā

    mirī anā saltanat vasī.a thī ariiz thī aur us narcissus thā maiñ

    vo saltanat jahāñ pe sirf maiñ thā merā aks thā

    aur is ke mā-sivā nafī raqs thā

    maiñ apnī zaat par farefta rahā

    maiñ apne aap shefta rahā

    na jaane kitne mehr-o-mah tābisheñ mirī tajalliyoñ zad pe aa ke ḳhaak ho ga.iiñ

    mirī nazar ko koī bhī mire sivā jachā nahīñ

    magar vo ek shaam ajab tilism-rang-shām thī

    fusūñ-tarāz sāhira sarāpā rashk-e-jām thī

    vo sāhira ki lashkar-e-jamāl-e-bā-kamāl us ke saath thā

    vo sāhira ki qatl-e-ām ke tamām aslahoñ se lais thī

    balā jañg chhiḌ ga.ī

    mirī anā thī ik taraf aur us husn ik taraf

    vo yak-ba-yak shadīd yūrisheñ huiiñ

    mire sabhī havās us ke yarġhamāl ho ga.e

    tamām ḳhud-pasandiyoñ taḳht-o-tāj luT gayā

    mirī anā saltanat tamām ujaḌ ke rah ga.ī

    ye main ki mujh se chhin gaya hai sar-basar

    wo kaun hai ki jis ki dastaras mein aa ke main mera nahin raha

    mujhe to main tamam kaenat se aziz tha

    meri ana ki saltanat wasia thi ariz thi aur us ka narcissus tha main

    wo saltanat jahan pe sirf main tha mera aks tha

    aur is ke ma-siwa nafi ka raqs tha

    main apni zat par farefta raha

    main apne aap hi ka shefta raha

    na jaane kitne mehr-o-mah ki tabishen meri tajalliyon ki zad pe aa ke KHak ho gain

    meri nazar ko koi bhi mere siwa jacha nahin

    magar wo ek sham ajab tilism-rang-sham thi

    fusun-taraaz sahira sarapa rashk-e-jam thi

    wo sahira ki lashkar-e-jamal-e-ba-kamal us ke sath tha

    wo sahira ki qatl-e-am ke tamam aslahon se lais thi

    bala ki jang chhiD gai

    meri ana thi ek taraf aur us ka husn ek taraf

    wo yak-ba-yak shadid yurishen huin

    mere sabhi hawas us ke yarghamal ho gae

    tamam KHud-pasandiyon ka taKHt-o-taj luT gaya

    meri ana ki saltanat tamam ujaD ke rah gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now