Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andesha

Zareena Sani

andesha

Zareena Sani

MORE BYZareena Sani

    daur-e-māzī sunahrī duniyā

    jis meñ haq aur sadāqat hifāzat ke liye

    kabhī maslūb hue

    taḳhta-e-dār kabhī

    zahr jaam kabhī

    kabhī koḌoñ sazā paa.ī hai

    tan-e-nāzuk kabhī sangsār huā

    kabhī kāñToñ pe ghasīTā ham ko

    āb-e-shamshīr se bhī pyaas bujhā.ī ham ne

    aaj maazī tasalsul TuuTā

    aaj hai zauq-e-shahādat kamī

    balki fuqdān kaho

    aaj eqtidār ḳhātir ham ne

    apnā maslak bhī badal Daalā hai

    rūh-e-insāñ ko kuchal Daalā hai

    koī batlā.e hameñ

    is sazā kyā hogī

    daur-e-mazi ki sunahri duniya

    jis mein haq aur sadaqat ki hifazat ke liye

    kabhi maslub hue

    taKHta-e-dar kabhi

    zahr ka jam kabhi

    kabhi koDon ki saza pai hai

    tan-e-nazuk kabhi sangsar hua

    kabhi kanTon pe ghasiTa hum ko

    aab-e-shamshir se bhi pyas bujhai hum ne

    aaj mazi ka tasalsul TuTa

    aaj hai zauq-e-shahadat ki kami

    balki fuqdan kaho

    aaj eqtidar ki KHatir hum ne

    apna maslak bhi badal Dala hai

    ruh-e-insan ko kuchal Dala hai

    koi batlae hamein

    is ki saza kya hogi

    Source:

    Tahreek Jild 29 Shumara 3 June 1981-Svk (Pg. 17)

      • Publisher: Gopal Mittal
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now