Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andesha

MORE BYSalahuddin Nayyar

    kis qadar shādāb thā taaza guloñ se ye chaman

    kis qadar mahkī huī thī dosto ye anjuman

    aaj mahfil ke magar badle hue hālāt haiñ

    in nigāhoñ meñ ka.ī jalte hue zarrāt haiñ

    sīna-e-tahzīb se girne lagā hai phir lahū

    bhar na jaa.eñ zahr-e-qātil se kahīñ jām-o-subū

    uḌ na jaa.e chehra-e-insāniyat se rang-o-bū

    hamdamo arzāñ nahīñ hotī vatan aabrū

    apnī āzādī sunahre ḳhvāb ta.abīr hai

    kitnī qurbāniyoñ boltī tasvīr hai

    azmat-e-hindostāñ yaaro kahīñ kam ho na jaa.e

    dosto ye raushnī zulmat meñ phir zam ho na jaa.e

    dāman-e-gul ḳhuun būñdoñ se phir nam ho na jaa.e

    sehn-e-gulshan meñ kahīñ nam-dīda shabnam ho na jaa.e

    saaz ke pardoñ meñ zam naġhmāt ho zindagī

    phir nasīm-e-sub.h se aa.e guloñ meñ tāzgī

    phuul aur kāñTe raheñge gulsitāñ ke saath saath

    chāñd aur taare raheñge āsmāñ ke saath saath

    amn taqdīr hai hindostāñ ke saath saath

    an-ginat phūloñ se khiltā rahegā gulsitāñ

    ruk nahīñ saktā kabhī ye zindagī kārvāñ

    kis qadar shadab tha taza gulon se ye chaman

    kis qadar mahki hui thi dosto ye anjuman

    aaj mahfil ke magar badle hue haalat hain

    in nigahon mein kai jalte hue zarraat hain

    sina-e-tahzib se girne laga hai phir lahu

    bhar na jaen zahr-e-qatil se kahin jam-o-subu

    uD na jae chehra-e-insaniyat se rang-o-bu

    hamdamo arzan nahin hoti watan ki aabru

    apni aazadi sunahre KHwab ki tabir hai

    kitni hi qurbaniyon ki bolti taswir hai

    azmat-e-hindostan yaro kahin kam ho na jae

    dosto ye raushni zulmat mein phir zam ho na jae

    daman-e-gul KHun ki bundon se phir nam ho na jae

    sehn-e-gulshan mein kahin nam-dida shabnam ho na jae

    saz ke pardon mein zam naghmat ki ho zindagi

    phir nasim-e-subh se aae gulon mein tazgi

    phul aur kanTe rahenge gulsitan ke sath sath

    chand aur tare rahenge aasman ke sath sath

    amn ki taqdir hai hindostan ke sath sath

    an-ginat phulon se khilta hi rahega gulsitan

    ruk nahin sakta kabhi ye zindagi ka karwan

    Source:

    Zakhmon Ke Gulab (Pg. 99)

    • Author: Salahuddin Nayyar
      • Publisher: National Fine Printing Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now