Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andhera

MORE BYMakhdoom Mohiuddin

    raat ke haath meñ ik kāsa-e-daryuza-girī

    ye chamakte hue taare ye damaktā huā chāñd

    bhiik ke nuur meñ māñge ke ujāle meñ magan

    yahī malbūs-e-urūsī hai yahī un kafan

    is añdhere meñ vo marte hue jismoñ karāh

    vo azāzīl ke kuttoñ kamīñ-gāh

    ''vo tahzīb ke zaḳhm''

    ḳhandaqeñ

    baaḌh ke taar

    baaḌh ke tāroñ meñ uljhe hue insānoñ ke jism

    aur insānoñ ke jismoñ pe vo baiThe hue gidh

    vo taḌaḳhte hue sar

    mayyateñ hāt-kaTī pāñv-kaTī

    laash ke Dhāñche ke is paar se us paar talak

    sard havā

    nauha o naala o fariyād-kunāñ

    shab ke sannāTe meñ rone sadā

    kabhī bachchoñ kabhī maaoñ

    chāñd ke tāroñ ke mātam sadā

    raat ke māthe pe āzurda sitāroñ hujūm

    sirf ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ ke nikalne tak hai

    raat ke paas añdhere ke sivā kuchh bhī nahīñ

    raat ke paas añdhere ke sivā kuchh bhī nahīñ

    raat ke hath mein ek kasa-e-daryuza-giri

    ye chamakte hue tare ye damakta hua chand

    bhik ke nur mein mange ke ujale mein magan

    yahi malbus-e-urusi hai yahi un ka kafan

    is andhere mein wo marte hue jismon ki karah

    wo azazil ke kutton ki kamin-gah

    wo tahzib ke zaKHm

    KHandaqen

    baDh ke tar

    baDh ke taron mein uljhe hue insanon ke jism

    aur insanon ke jismon pe wo baiThe hue gidh

    wo taDaKHte hue sar

    mayyaten hat-kaTi panw-kaTi

    lash ke Dhanche ke is par se us par talak

    sard hawa

    nauha o nala o fariyaad-kunan

    shab ke sannaTe mein rone ki sada

    kabhi bachchon ki kabhi maon ki

    chand ke taron ke matam ki sada

    raat ke mathe pe aazurda sitaron ka hujum

    sirf KHurshid-e-daraKHshan ke nikalne tak hai

    raat ke pas andhere ke siwa kuchh bhi nahin

    raat ke pas andhere ke siwa kuchh bhi nahin

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now