angDai
ek dhīmī sī garaj alhaḌ ghaTā uThtī huī
saaz ke siine se saut-e-be-sadā uThtī huī
rang kī ik jū-e-bār
parda jaise ḳhāna-e-tasvīr kā uThtā huā
jaise joban shoḳhi-e-tahrīr kā uThtā huā
'unfuvān-e-zar-nigār
barbat-e-nashv-o-numā kī ek matvālī tarang
gūñjte ā'sāb khiltā rang bajte ang ang
garm mausam kā nikhār
avvalīñ barsāt ke pahle tarashshoh kā samāñ
nāchte jazbāt se labrez idrāk-e-javāñ
be-nihāyat be-shumār
zindagī kī ḳhvāhishāt-e-garm kā vahshī chakor
raqs meñ Duubā huā ḳhud-mast be-ārām mor
ek aahū ik chinār
ek dhimi si garaj alhaD ghaTa uThti hui
saz ke sine se saut-e-be-sada uThti hui
rang ki ek ju-e-bar
parda jaise KHana-e-taswir ka uThta hua
jaise joban shoKHi-e-tahrir ka uThta hua
'unfuwan-e-zar-nigar
barbat-e-nashw-o-numa ki ek matwali tarang
gunjte aa'sab khilta rang bajte ang ang
garm mausam ka nikhaar
awwalin barsat ke pahle tarashshoh ka saman
nachte jazbaat se labrez idrak-e-jawan
be-nihayat be-shumar
zindagi ki KHwahishat-e-garm ka wahshi chakor
raqs mein Duba hua KHud-mast be-aram mor
ek aahu ek chinar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.