aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

anmol ratan

Masooda Hayat

anmol ratan

Masooda Hayat

MORE BYMasooda Hayat

    bhārat anmol ratan the maulānā āzād

    sachche ek muhibb-e-vatan the maulānā āzād

    bū-e-gul nau-rang-e-chaman the maulānā āzād

    in ke īsār-o-amal se des huā ābād

    bhārat anmol ratan the maulānā āzād

    āzādī ḳhvāb dikhāyā apne aḳhbāroñ se

    bedārī paaTh paḌhāyā apne aḳhbāroñ se

    qaum apnī azm baḌhāyā apne aḳhbāroñ se

    un ke īsār-o-amal se des huā ābād

    bhārat anmol ratan the maulānā āzād

    qaid-o-band meñ rah kar bhī likkhīñ kitnī tahrīreñ

    ek hue sab hindū muslim aisī kiiñ taqrīreñ

    des huā āzād hamārā socheñ vo tadbīreñ

    un ke īsār-o-amal se des huā ābād

    bhārat anmol ratan the maulānā āzād

    dūr-andeshī aisī jis koī nahīñ thā saanī

    haq-goī thī aisī in baat har ik ne maanī

    un ke azm ke aage ho ga.e dushman paanī paanī

    un ke īsār-o-amal se des huā ābād

    bhārat anmol ratan the maulānā āzād

    ek mufakkir ek mudabbir ek siyāsat-dāñ bhī

    mulk-o-qaum ḳhātir dene ko tayyār the jaañ bhī

    kyā duniyā meñ paidā hogā phir aisā insāñ bhī

    un ke īsār-o-amal se des huā ābād

    bhārat anmol ratan the maulānā āzād

    dil ko raushan kar detī hai tafsīr-e-qur.ān

    insānoñ se ulfat karnā thā un īmān

    sab kuchh likh kar bhī baaqī thā likhne armān

    un ke īsār-o-amal se des huā ābād

    bhārat anmol ratan the maulānā āzād

    bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad

    sachche ek muhibb-e-watan the maulana aazad

    bu-e-gul nau-rang-e-chaman the maulana aazad

    in ke hi isar-o-amal se des hua aabaad

    bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad

    aazadi ka KHwab dikhaya apne aKHbaron se

    bedari ka paTh paDhaya apne aKHbaron se

    qaum ka apni azm baDhaya apne aKHbaron se

    un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad

    bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad

    qaid-o-band mein rah kar bhi likkhin kitni tahriren

    ek hue sab hindu muslim aisi kin taqriren

    des hua aazad hamara sochen wo tadbiren

    un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad

    bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad

    dur-andeshi aisi jis ka koi nahin tha sani

    haq-goi thi aisi in ki baat har ek ne mani

    un ke azm ke aage ho gae dushman pani pani

    un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad

    bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad

    ek mufakkir ek mudabbir ek siyasat-dan bhi

    mulk-o-qaum ki KHatir dene ko tayyar the jaan bhi

    kya duniya mein paida hoga phir aisa insan bhi

    un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad

    bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad

    dil ko raushan kar deti hai tafsir-e-quran

    insanon se ulfat karna tha un ka iman

    sab kuchh likh kar bhi baqi tha likhne ka arman

    un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad

    bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad

    Source:

    Tasveer-e-Watan (Pg. 24)

    • Author: Masooda Hayat
      • Year of Publication: 1992

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now