apne janaze mein
shor machā kar rone vaalo
chīḳheñ maar ke ro lene se dard nahīñ kam ho paate haiñ
dard ko apne andar rakkho
ronā koī rasm nahīñ hai
ḳhāmoshī kī qabr ke andar
bahte aañsū
zinda dafn kiye jaate haiñ
inheñ bachāo
sāñseñ gin lo
gintī puurī ho jaa.e to
marne ke ārām ko samjho
ronā koī rasm nahīñ hai
zinda rah kar ek bhī dil ko
jītnā kitnā mushkil ho jaatā hai
lekin mar kar ek hī pal meñ
saarī duniyā saarī mahfil
aur in saare logoñ ke dil
ek hī pal meñ jiit gayā maiñ
so sab jiit kā jashn manāo
aao aage qadam baḌhāo
miTTī Daalo hosh meñ aao
jashn manāo
ronā koī rasm nahīñ hai
shor macha kar rone walo
chiKHen mar ke ro lene se dard nahin kam ho pate hain
dard ko apne andar rakkho
rona koi rasm nahin hai
KHamoshi ki qabr ke andar
bahte aansu
zinda dafn kiye jate hain
inhen bachao
sansen gin lo
ginti puri ho jae to
marne ke aaram ko samjho
rona koi rasm nahin hai
zinda rah kar ek bhi dil ko
jitna kitna mushkil ho jata hai
lekin mar kar ek hi pal mein
sari duniya sari mahfil
aur in sare logon ke dil
ek hi pal mein jit gaya main
so sab jit ka jashn manao
aao aage qadam baDhao
miTTi Dalo hosh mein aao
jashn manao
rona koi rasm nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.