Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni talash mein nikle

Saeed Naqvi

apni talash mein nikle

Saeed Naqvi

MORE BYSaeed Naqvi

    bahut gumān hai apne vajūd mujh ko

    magar koī bhī haqīqat ayaañ nahīñ mujh par

    ḳhizāñ-rasīda kisī barg-e-nā-tavāñ tarah

    gumān ye ki safar mere iḳhtiyār meñ hai

    mujhe to ye bhī nahīñ ilm kyā hai merī zaat

    maiñ jis ko DhūñDh rahā huuñ vo kaun hai kyā hai

    vo chāhtā hai use DhūñDh luuñ agar maiñ bhī

    koī nishān koī raushnī to lāzim hai

    to is haqīqat-e-maḳhfī ko jānñe ke liye

    chalo ḳhudā se koī baat kar ke dekhte haiñ

    agar ye parda-nashīnī baaqī rakhnī hai

    agar talāsh ye imtihān jaarī hai

    to mere dīda-e-shab ke sukūn ḳhātir

    atā kare koī hikmat koī hunar aisā

    ki jab maiñ jāgūñ

    to as.hāb-e-kahf mānind

    na koī parda na ib.hām ho mire aage

    vo vaqt aa.e ki mujh se vo zaat khul jaa.e

    mire nasīb se ik āgahī daur mile

    mire vajūd se ye kā.enāt khul jaa.e

    chalo usī se pata us pūchh lete haiñ

    chalo ḳhudā se koī baat kar ke dekhte haiñ

    bahut guman hai apne wajud ka mujh ko

    magar koi bhi haqiqat ayan nahin mujh par

    KHizan-rasida kisi barg-e-na-tawan ki tarah

    guman ye ki safar mere iKHtiyar mein hai

    mujhe to ye bhi nahin ilm kya hai meri zat

    main jis ko DhunDh raha hun wo kaun hai kya hai

    wo chahta hai use DhunDh lun agar main bhi

    koi nishan koi raushni to lazim hai

    to is haqiqat-e-maKHfi ko jaanne ke liye

    chalo KHuda se koi baat kar ke dekhte hain

    agar ye parda-nashini hi baqi rakhni hai

    agar talash ka ye imtihan jari hai

    to mere dida-e-shab ke sukun ki KHatir

    ata kare koi hikmat koi hunar aisa

    ki jab main jagun

    to ashab-e-kahf ki manind

    na koi parda na ibham ho mere aage

    wo waqt aae ki mujh se wo zat khul jae

    mere nasib se ek aagahi ka daur mile

    mere wajud se ye kaenat khul jae

    chalo usi se pata us ka puchh lete hain

    chalo KHuda se koi baat kar ke dekhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now