Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

april bahaar ka istiqbaal karta hai

Naina Adil

april bahaar ka istiqbaal karta hai

Naina Adil

MORE BYNaina Adil

    faroġh-e-shādābī-e-chaman ko mahaktī miTTī se phuuT niklā hai narm sabza

    harīs-e-taḳhlīq nam zamīñ ne guloñ se dāman udaas beloñ ke bhar diye haiñ

    ajiib rut hai! ki būḌhī shāḳhoñ meñ saañs letā hai sabz jauban

    ḳhayāloñ, ḳhvāboñ rahguzar par chaTak rahī haiñ hazār kaliyāñ

    nigāh-e-dil ke gazīda goshe rahīn-e-nik.hat

    fazā poroñ meñ jaag uTThī hai bhīnī ḳhushbū, havā ke hāthoñ meñ raushnī ke jaḌāv kañgan

    havā ke pairoñ meñ raqs karne lage haiñ ghuñgrū

    parinde rañgīn shaam oḌhe shafaq surḳhī se khelte haiñ

    damakte paanī meñ ġhusl karte haiñ chāñd taare

    nahātī kaliyoñ be-libāsī ko kitnī hairat se dekhtā hai

    nafīs pattoñ shaal oḌhe ghanerā jañgal

    gulāb ke surḳh pairahan par, safed phūloñ pattiyoñ par!

    samā.at-e-shab meñ sabt kartī hai os yuuñ jal-tarañg naġhme

    ki giit vo jo azal se be-kal fazā meñ gum the

    utarne lagte haiñ dhaḌkanoñ hasīn lai par, mohabbatoñ ke amiin ban kar

    milan aisī sabīh rut meñ husn detā aap dastak

    tumhāre dar par...

    farogh-e-shadabi-e-chaman ko mahakti miTTi se phuT nikla hai narm sabza

    haris-e-taKHliq nam zamin ne gulon se daman udas belon ke bhar diye hain

    ajib rut hai! ki buDhi shaKHon mein sans leta hai sabz jauban

    KHayalon, KHwabon ki rahguzar par chaTak rahi hain hazar kaliyan

    nigah-e-dil ke gazida goshe rahin-e-nikhat

    faza ki poron mein jag uTThi hai bhini KHushbu, hawa ke hathon mein raushni ke jaDaw kangan

    hawa ke pairon mein raqs karne lage hain ghungru

    parinde rangin sham oDhe shafaq ki surKHi se khelte hain

    damakte pani mein ghusl karte hain chand tare

    nahati kaliyon ki be-libasi ko kitni hairat se dekhta hai

    nafis patton ki shaal oDhe ghanera jangal

    gulab ke surKH pairahan par, safed phulon ki pattiyon par!

    samaat-e-shab mein sabt karti hai os yun jal-tarang naghme

    ki git wo jo azal se be-kal faza mein gum the

    utarne lagte hain dhaDkanon ki hasin lai par, mohabbaton ke amin ban kar

    milan ki aisi sabih rut mein husn deta aap dastak

    tumhaare dar par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now