Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

asia ki mazdur aurat

Naseem Syed

asia ki mazdur aurat

Naseem Syed

MORE BYNaseem Syed

    taġhārī sar pe dhare tar-ba-tar pasīne se

    uThā.e māmtā bojh nau mahīne se

    dahaktī ret pe apne qadam jamā.e hue

    mashaqqatoñ nazar se nazar milā.e hue

    rutoñ ke qahr ko ye imtihān lagtī hai

    ye chāñdnī se banī ik chaTān lagtī hai

    hunar chādar-e-bā-zeb us ne pahnī hai

    ma.āshiyāt pāzeb us ne pahnī hai

    phaTe libās pe mehnat shaal oḌhe hai

    badan ke shīshe pe lohe jaal oḌhe hai

    har ik makān buniyād us ne Daalī hai

    gharoñ shaukat-o-azmat usī paalī hai

    vo jis kalā.ī pe be-himmatī ke ta.ane haiñ

    usī ke panje meñ tāqat ke tāne-bāne haiñ

    machān bāñdh ke jab chhat banā.ī jā.egī

    taġhārī sar pe cement yahī uThā.egī

    chaḌhegī zīna-ba-zīna sameTtī saarī

    agarche bojh bhī bhārī hai pair bhī bhārī

    ye jhuTpuTe ko thakī-hārī ghar jo jā.egī

    to apne kumbe har bhuuk ye miTā.egī

    ye yuuñ to piiTh pe patthar uThā ke chaltī hai

    zamām-e-kār ko qabze meñ karke chaltī hai

    kabhī kudāl chalātī hai bojh Dhotī hai

    to hal chalā ke kabhī ye zamīn botī hai

    kabhī ye ghar gavāhī meñ jaan detī hai

    haveliyoñ ko itā.at maan detī hai

    ġharīb hai so badan ḳhirāj detī hai

    ye ḳhud ko piis ke ghar ko anaaj detī hai

    ye be-bisāt hai lekin ye ġham-gusār bhī hai

    vafā-shi.ār bhī hai jān-e-rozgār bhī hai

    taghaari sar pe dhare tar-ba-tar pasine se

    uThae mamta ka bojh nau mahine se

    dahakti ret pe apne qadam jamae hue

    mashaqqaton ki nazar se nazar milae hue

    ruton ke qahr ko ye imtihan lagti hai

    ye chandni se bani ek chaTan lagti hai

    hunar ki chadar-e-ba-zeb us ne pahni hai

    maashiyat ki pazeb us ne pahni hai

    phaTe libas pe mehnat ki shaal oDhe hai

    badan ke shishe pe lohe ka jal oDhe hai

    har ek makan ki buniyaad us ne Dali hai

    gharon ki shaukat-o-azmat usi ki pali hai

    wo jis kalai pe be-himmati ke tane hain

    usi ke panje mein taqat ke tane-bane hain

    machan bandh ke jab chhat banai jaegi

    taghaari sar pe cement ki yahi uThaegi

    chaDhegi zina-ba-zina sameTti sari

    agarche bojh bhi bhaari hai pair bhi bhaari

    ye jhuTpuTe ko thaki-haari ghar jo jaegi

    to apne kumbe ki har bhuk ye miTaegi

    ye yun to piTh pe patthar uTha ke chalti hai

    zamam-e-kar ko qabze mein karke chalti hai

    kabhi kudal chalati hai bojh Dhoti hai

    to hal chala ke kabhi ye zamin boti hai

    kabhi ye ghar ki gawahi mein jaan deti hai

    haweliyon ko itaat ka man deti hai

    gharib hai so badan ka KHiraj deti hai

    ye KHud ko pis ke ghar ko anaj deti hai

    ye be-bisat hai lekin ye gham-gusar bhi hai

    wafa-shiar bhi hai jaan-e-rozgar bhi hai

    Source:

    Aadhi Gawahi (Pg. 50)

    • Author: Naseem Syed
      • Publisher: Irtiqa Matbuat, Karachi
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now