asrar-e-paida
Interesting Fact
(Talim-o-Tarbiyat) (Zarb-e-Kalim)
us qaum ko shamshīr kī hājat nahīñ rahtī
ho jis ke javānoñ kī ḳhudī sūrat-e-faulād
nāchīz jahān-e-mah-o-parvīñ tire aage
vo 'ālam-e-majbūr hai tū ālam-e-āzād
maujoñ kī tapish kyā hai faqat zauq-e-talab hai
pinhāñ jo sadaf meñ hai vo daulat hai ḳhudā-dād
shāhīñ kabhī parvāz se thak kar nahīñ girtā
pur-dam hai agar tū to nahīñ ḳhatra-e-uftād
us qaum ko shamshir ki hajat nahin rahti
ho jis ke jawanon ki KHudi surat-e-faulad
nachiz jahan-e-mah-o-parwin tere aage
wo 'alam-e-majbur hai tu aalam-e-azad
maujon ki tapish kya hai faqat zauq-e-talab hai
pinhan jo sadaf mein hai wo daulat hai KHuda-dad
shahin kabhi parwaz se thak kar nahin girta
pur-dam hai agar tu to nahin KHatra-e-uftad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.