Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ata-e-tauba liqa-e-tu

Nazish Partap Gadhi

ata-e-tauba liqa-e-tu

Nazish Partap Gadhi

MORE BYNazish Partap Gadhi

    Interesting Fact

    Dedicated to Firaq Gorakhpuri (14th October, 1968)

    terī bātoñ meñ tirā fan tere fan meñ terī baat

    kyuuñ ho tere baab meñ phir kāvish-e-zāt-o-sifāt

    pahūñchī ġham ruuh tak jin na koī ek baat

    ishq meñ jhele haiñ ne aise bhī kuchh sānehāt

    zindagī ko zindagī karnā koī āsāñ na thā

    hazm kar ke zahr ko ne kiyā āb-e-hayāt

    hai kahāñ ehsās aisī riyāzat javāb

    hotī hai garm-e-takallum tujh se behis kā.enāt

    raaz ke sīġhe meñ rakkhā thā mashiyyat ne jinheñ

    vo haqā.eq ban chuke haiñ tere dil vārdāt

    terī bāteñ sun ke āñkhoñ meñ namī aa.e hai

    terī mahfil hai buland-az-dahriyāt-o-dīniyāt

    sirf usī tarjumānī hai tire ash.ār meñ

    jis sukūt-e-rāz-e-rangīñ ko kaheñ jān-e-hayāt

    terī bāteñ haiñ ki naġhme tere naġhme haiñ ki sehr

    zeb dete haiñ bhalā auroñ ko kab ye kufriyāt

    ne jis āvāz ko paalā hai mar mar kar 'firāq'

    aaj usī narm lau hai sham-e-mehrāb-e-hayāt

    teri baaton mein tera fan tere fan mein teri baat

    kyun ho tere bab mein phir kawish-e-zat-o-sifat

    pahunchi gham ki ruh tak jin ki na koi ek baat

    ishq mein jhele hain tu ne aise bhi kuchh sanehat

    zindagi ko zindagi karna koi aasan na tha

    hazm kar ke zahr ko tu ne kiya aab-e-hayat

    hai kahan ehsas ki aisi riyazat ka jawab

    hoti hai garm-e-takallum tujh se behis kaenat

    raaz ke sighe mein rakkha tha mashiyyat ne jinhen

    wo haqaeq ban chuke hain tere dil ki wardat

    teri baaten sun ke aankhon mein nami si aae hai

    teri mahfil hai buland-az-dahriyat-o-diniyat

    sirf usi ki tarjumani hai tere ashaar mein

    jis sukut-e-raaz-e-rangin ko kahen jaan-e-hayat

    teri baaten hain ki naghme tere naghme hain ki sehr

    zeb dete hain bhala auron ko kab ye kufriyat

    tu ne jis aawaz ko pala hai mar mar kar 'firaq'

    aaj usi ki narm lau hai sham-e-mehrab-e-hayat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now