aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

august1955

Faiz Ahmad Faiz

august1955

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    shahr meñ chāk-garebāñ hue nāpaid ab ke

    koī kartā nahīñ zabt tākīd ab ke

    lutf kar ai nigah-e-yār ki ġham vāloñ ne

    hasrat-e-dil uThā.ī nahīñ tamhīd ab ke

    chāñd dekhā tirī āñkhoñ meñ na hoñToñ pe shafaq

    miltī-jultī hai shab-e-ġham se tirī diid ab ke

    dil dukhā hai na vo pahlā na jaañ taḌpī hai

    ham ġhāfil the ki aa.ī nahīñ iid ab ke

    phir se bujh jā.eñgī sham.eñ jo havā tez chalī

    ke rakkho sar-e-mahfil koī ḳhurshīd ab ke

    shahr mein chaak-gareban hue napaid ab ke

    koi karta hi nahin zabt ki takid ab ke

    lutf kar ai nigah-e-yar ki gham walon ne

    hasrat-e-dil ki uThai nahin tamhid ab ke

    chand dekha teri aankhon mein na honTon pe shafaq

    milti-julti hai shab-e-gham se teri did ab ke

    dil dukha hai na wo pahla sa na jaan taDpi hai

    hum hi ghafil the ki aai hi nahin id ab ke

    phir se bujh jaengi shamen jo hawa tez chali

    la ke rakkho sar-e-mahfil koi KHurshid ab ke

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 288)

      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now