Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur niche na utar o mere samea mujhko

Zaheer Siddiqui

aur niche na utar o mere samea mujhko

Zaheer Siddiqui

MORE BYZaheer Siddiqui

    aao aa jaao qarīb aao

    ki kuchh baat bane

    itnī duurī hai ki āvāz pahuñchtī nahīñ

    maiñ kisī ġhair zabāñ ke alfāz

    apne ash.ār meñ shāmil to nahīñ kartā huuñ

    dukh to is baat hai tum ye samajhte nahīñ

    mere siine meñ machaltā hai

    tumhārā dukh bhī

    mere alfāz meñ shāmil hai tumhārī āvāz

    mere jazbāt meñ ḳhufta haiñ

    tumhāre jazbāt

    maiñ jo ad par huuñ to bas ek maqsad hai mirā

    farsh se arsh kuchh rābta baaqī to rahe

    maiñ huuñ jis ziine pe

    tum us pe nahīñ aa sakte

    aur maiñ nīche bahut nīche nahīñ saktā

    ye tafāvut to azal se hai qaa.em

    lekin

    tum kabhī itne garāñ gosh na the

    sīḌhiyāñ jitnī bhī uupar jaa.eñ

    paañv to un ke zamīñ se lage rahte haiñ

    ik zarā qurb-e-samā.at ke liye

    kitne ziine maiñ utrā huuñ tumhārī ḳhātir

    jhaaḌ kar apne band miTTī

    chand ziine sahī

    tum bhī to uupar aao

    aur nīche na utāro mire sāme.a mujh ko

    aao aa jao qarib aao

    ki kuchh baat bane

    itni duri hai ki aawaz pahunchti hi nahin

    main kisi ghair zaban ke alfaz

    apne ashaar mein shamil to nahin karta hun

    dukh to is baat ka hai tum ye samajhte hi nahin

    mere sine mein machalta hai

    tumhaara dukh bhi

    mere alfaz mein shamil hai tumhaari aawaz

    mere jazbaat mein KHufta hain

    tumhaare jazbaat

    main jo ad par hun to bas ek hi maqsad hai mera

    farsh se arsh ka kuchh rabta baqi to rahe

    main hun jis zine pe

    tum us pe nahin aa sakte

    aur main niche bahut niche nahin ja sakta

    ye tafawut to azal hi se hai qaem

    lekin

    tum kabhi itne garan gosh na the

    siDhiyan jitni bhi upar jaen

    panw to un ke zamin se hi lage rahte hain

    ek zara qurb-e-samaat ke liye

    kitne hi zine main utra hun tumhaari KHatir

    jhaD kar apne band ki miTTi

    chand zine hi sahi

    tum bhi to upar aao

    aur niche na utaro mere samea mujh ko

    Source:

    Roshan waraq waraq (Pg. 65)

    • Author: Zaheer Siddiqui
      • Edition: 2009
      • Publisher: eram printer daryabad ,patna
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now