Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur socha karte hain

Naseem Syed

aur socha karte hain

Naseem Syed

MORE BYNaseem Syed

    be-dhyān lamhoñ ke

    be-yaqīn āñgan meñ

    koī biij chāhat

    kaise phuuT aatā hai

    ik yaqīñ koñpal se

    kaise saikḌoñ shāḳheñ

    tan meñ phuul jaatī haiñ

    kuchh samajh nahīñ aatā

    do hatheliyāñ kaise

    ek jaisī sochoñ meñ

    mom pighaltī haiñ

    aag sulagtī haiñ

    aur ḳhabar nahīñ hotī

    koī shoḳh vahshat

    aatī jaatī sāñsoñ meñ

    khilkhilā ke hañstī hai

    ek dard rāhat

    pāyaloñ ko chhankātī

    ek aag bhaḌkātī

    saath saath chaltī hai

    chāhatoñ ke āñgan se

    hosh ke kivāḌoñ tak

    aag phail jaatī hai

    aag phail jaatī hai

    tab dhiyān aatā hai

    ek jaisī sochoñ meñ

    mom se pighalte do

    haath raakh hote haiñ

    tab ḳhayāl aatā hai

    saiñt saiñt rakhte haiñ

    raakh chand lamhoñ

    aur sochā karte haiñ

    shoḳh jo vahshat thī

    jaane vo mohabbat thī

    raakh jo baTorī hai

    jaane ye mohabbat hai

    be-dhyan lamhon ke

    be-yaqin aangan mein

    koi bij chahat ka

    kaise phuT aata hai

    ek yaqin ki konpal se

    kaise saikDon shaKHen

    tan mein phul jati hain

    kuchh samajh nahin aata

    do hatheliyan kaise

    ek jaisi sochon mein

    mom si pighalti hain

    aag si sulagti hain

    aur KHabar nahin hoti

    koi shoKH si wahshat

    aati jati sanson mein

    khilkhila ke hansti hai

    ek dard ki rahat

    payalon ko chhankati

    ek aag bhaDkati

    sath sath chalti hai

    chahaton ke aangan se

    hosh ke kiwaDon tak

    aag phail jati hai

    aag phail jati hai

    tab dhiyan aata hai

    ek jaisi sochon mein

    mom se pighalte do

    hath rakh hote hain

    tab KHayal aata hai

    saint saint rakhte hain

    rakh chand lamhon ki

    aur socha karte hain

    shoKH si jo wahshat thi

    jaane wo mohabbat thi

    rakh jo baTori hai

    jaane ye mohabbat hai

    Source:

    Aadhi Gawahi (Pg. 84)

    • Author: Naseem Syed
      • Publisher: Irtiqa Matbuat, Karachi
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now