aurat
banāyā hai musavvir ne hasīñ shahkār aurat ko
alag pahchān detā hai kahānī-kār aurat ko
vo maañ ho bahan biivī yā ki beTī ho suno logo
har ik kirdār meñ rakkhā gayā ġham-ḳhvār aurat ko
yahī sach-much banā degī tire ghar ko hasīñ jannat
zarā tum pyaar se karnā kabhī sarshār aurat ko
phir ik din un kī qismat meñ likhī jaatī hai rusvā.ī
zamāne meñ samajhte haiñ jo kārobār aurat ko
usī kā ruup dhāre phir rahī haiñ kuchh chuḌeleñ bhī
maiñ aurat hī nahīñ kahtā kisī makkār aurat ko
salām un auratoñ par jo ki maa.eñ haiñ shahīdoñ kī
salāmī pesh kartā huuñ maiñ sau sau baar aurat ko
mujhe us vaqt 'arshad' kyoñ mirī maañ yaad aatī hai
kisī kuTiyā meñ dekhūñ jab kisī lāchār aurat ko
banaya hai musawwir ne hasin shahkar aurat ko
alag pahchan deta hai kahani-kar aurat ko
wo man ho bahan biwi ya ki beTi ho suno logo
har ek kirdar mein rakkha gaya gham-KHwar aurat ko
yahi sach-much bana degi tere ghar ko hasin jannat
zara tum pyar se karna kabhi sarshaar aurat ko
phir ek din un ki qismat mein likhi jati hai ruswai
zamane mein samajhte hain jo karobar aurat ko
usi ka rup dhaare phir rahi hain kuchh chuDelen bhi
main aurat hi nahin kahta kisi makkar aurat ko
salam un auraton par jo ki maen hain shahidon ki
salami pesh karta hun main sau sau bar aurat ko
mujhe us waqt 'arshad' kyon meri man yaad aati hai
kisi kuTiya mein dekhun jab kisi lachaar aurat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.