Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat

MORE BYRahbar Jaunpuri

    duniyā ke liye tohfa-e-nāyāb hai aurat

    afsāna-e-hastī hasīñ baab hai aurat

    dekhā thā jo aadam ne vahī ḳhvāb hai aurat

    be-misl hai ā.īna-e-ādāb hai aurat

    qaa.em usī aurat se mohabbat fazā hai

    aurat atā asal meñ ehsān-e-ḳhudā hai

    hai maañ to dil-o-jāñ se luTātī hai sadā pyaar

    mamtā ke liye phirtī hai daulat sar-e-bāzār

    āsān banātī hai duā se rah-e-dushvār

    apne ġham-o-ālām kartī nahīñ iz.hār

    qadmoñ meñ liye rahtī hai jannat ḳhazāna

    aurat ke tasavvur meñ hai ta.amīr-e-zamāna

    biivī hai to ġham-ḳhvār hai paikar hai vafā

    āñchal ko banā letī hai fānūs hayā

    ruḳh dekh ke rakhtī hai qadam apnā havā

    girvīda banātī hai tabassum adā

    ḳhvāb-e-nigah-e-ishq ta.abīr hai aurat

    mardoñ ke liye husn zanjīr hai aurat

    hai shakl meñ beTī bahār-e-sahr-o-shām

    qudrat atiya hai ye qudrat hai in.aam

    detī hai masarrat dil-e-zār ko paiġhām

    hai ruuh ko taskīn jigar hai ye ārām

    duḳhtar hai to anmol guhar kahte haiñ us ko

    allāh rahmat samar kahte haiñ is ko

    sūrat meñ bahan hai chaman ye hasīñ phuul

    īsār-o-mohabbat hai shab-o-roz ma.amūl

    be-kār ranjish ko kabhī detī nahīñ tuul

    ehsās-e-muravvat meñ rahā kartī hai mashġhūl

    likhī hai har ik rañg meñ aurat kahānī

    kahte haiñ use azmat-e-insāñ nishānī

    mariyam hai to pākīza-o-shaffaf haiñ a.amāl

    ban jaa.e zuleḳhā to hayā ko kare pāmāl

    gar hai cleopatra to siyāsat chale chaal

    lailā hai to kartī hai ye dīvāna-o-bad-hāl

    Dhal jaanā har ik ruup meñ āsān hai us ko

    badle hue hālāt pahchān hai us ko

    'hinda' hai to sālārī dikhlātī hai jauhar

    hai 'rābi.a-basrī' to ye valiyoñ hai ham-sar

    baiThī hai agar husn bāzār sajā kar

    ġhairat ko banātī hai asīr-e-havas-e-zar

    vāqif hai bahar-taur ye jiine ke hunar se

    be-ḳhauf guzar jaatī hai har rāhguzar se

    ik pal meñ ye sho.ala hai to ik pal meñ hai shabnam

    ya.anī hai kabhī gul to kabhī ḳhār-e-mujassam

    ho sabr pe āmāda to sah jaa.e har ik ġham

    ho jaa.e muḳhālif to palaT de saf-e-ālam

    pāband-e-vafā ho to dil-o-jān luTā de

    aa jaa.e baġhāvat pe to duniyā ko hilā de

    duniya ke liye tohfa-e-nayab hai aurat

    afsana-e-hasti ka hasin bab hai aurat

    dekha tha jo aadam ne wahi KHwab hai aurat

    be-misl hai aaina-e-adab hai aurat

    qaem usi aurat se mohabbat ki faza hai

    aurat ki ata asal mein ehsan-e-KHuda hai

    hai man to dil-o-jaan se luTati hai sada pyar

    mamta ke liye phirti hai daulat sar-e-bazar

    aasan banati hai dua se rah-e-dushwar

    apne gham-o-alam ka karti nahin izhaar

    qadmon mein liye rahti hai jannat ka KHazana

    aurat ke tasawwur mein hai tamir-e-zamana

    biwi hai to gham-KHwar hai paikar hai wafa ka

    aanchal ko bana leti hai fanus haya ka

    ruKH dekh ke rakhti hai qadam apna hawa ka

    girwida banati hai tabassum ki ada ka

    KHwab-e-nigah-e-ishq ki tabir hai aurat

    mardon ke liye husn ki zanjir hai aurat

    hai shakl mein beTi ki bahaar-e-sahr-o-sham

    qudrat ka atiya hai ye qudrat ka hai inam

    deti hai masarrat ka dil-e-zar ko paigham

    hai ruh ko taskin jigar ka hai ye aaram

    duKHtar hai to anmol guhar kahte hain us ko

    allah ki rahmat ka samar kahte hain is ko

    surat mein bahan ki hai chaman ka ye hasin phul

    isar-o-mohabbat hai shab-o-roz ka mamul

    be-kar ki ranjish ko kabhi deti nahin tul

    ehsas-e-murawwat mein raha karti hai mashghul

    likhi hai har ek rang mein aurat ki kahani

    kahte hain use azmat-e-insan ki nishani

    mariyam hai to pakiza-o-shaffaf hain aamal

    ban jae zuleKHa to haya ko kare pamal

    gar hai cleopatra to siyasat ki chale chaal

    laila hai to karti hai ye diwana-o-bad-haal

    Dhal jaana har ek rup mein aasan hai us ko

    badle hue haalat ki pahchan hai us ko

    'hinda' hai to salari ka dikhlati hai jauhar

    hai 'rabia-basri' to ye waliyon ki hai ham-sar

    baiThi hai agar husn ka bazar saja kar

    ghairat ko banati hai asir-e-hawas-e-zar

    waqif hai bahar-taur ye jine ke hunar se

    be-KHauf guzar jati hai har rahguzar se

    ek pal mein ye shoala hai to ek pal mein hai shabnam

    yani hai kabhi gul to kabhi KHar-e-mujassam

    ho sabr pe aamada to sah jae har ek gham

    ho jae muKHalif to palaT de saf-e-alam

    paband-e-wafa ho to dil-o-jaan luTa de

    aa jae baghawat pe to duniya ko hila de

    Source:

    Raqs-e-Qalam (Pg. 62)

    • Author: Rehbar Jaunpuri
      • Edition: 2008
      • Publisher: Mohammad Tariq and Aabshar Ahmad, Shahwar Ahmad
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now