Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat

MORE BYFarrukh Zohra Gilani

    harf ma.asūm the mahkūm the mahsūr bhī the

    lafz maslūb hue hoñToñ pe aa ke tere

    tujh ko in.aam milā

    ki īsār thī jhankār thī mahkār bhī thī

    muddatoñ jahl ke tārīk shabistānoñ meñ

    zinda-dargor huī aur jalā.ī bhī ga.ī

    ki har ruup meñ be-bas-o-majbūr rahī

    phir bhī tahsīn ke laa.eq hai terā azm-e-javāñ

    ne jañgeñ bhī laḌīñ jām-e-shahādat bhī piyā

    ne ḳhutbe bhī diye shaam ke bāzāroñ meñ

    ne fitrat ko badal Daalā thā diiñ key ḳhātir

    na talātum bapā

    na koī lahar hai

    kaash aa.e koī

    jo safīne ke TuuTe hue

    kuchh shikasta se taḳhtoñ ko

    phir joḌ de

    mere jīvan ko vo

    ik nayā moḌ de

    harf masum the mahkum the mahsur bhi the

    lafz maslub hue honTon pe aa ke tere

    tujh ko inam mila

    tu ki isar thi jhankar thi mahkar bhi thi

    muddaton jahl ke tarik shabistanon mein

    zinda-dargor hui aur jalai bhi gai

    tu ki har rup mein hi be-bas-o-majbur rahi

    phir bhi tahsin ke laeq hai tera azm-e-jawan

    tu ne jangen bhi laDin jam-e-shahadat bhi piya

    tu ne KHutbe bhi diye sham ke bazaron mein

    tu ne fitrat ko badal Dala tha din key KHatir

    na talatum bapa

    na koi lahar hai

    kash aae koi

    jo safine ke TuTe hue

    kuchh shikasta se taKHton ko

    phir joD de

    mere jiwan ko wo

    ek naya moD de

    Source:

    Kuhar Ke Us Paar (Pg. 77)

    • Author: Farrukh Zohra Gilani
      • Publisher: Al-Hamd Publications, Lahore
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now