Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat KHuda ka aKHbar hai

Salahuddin Parvez

aurat KHuda ka aKHbar hai

Salahuddin Parvez

MORE BYSalahuddin Parvez

    Interesting Fact

    (Tahreek, Delhi)

    aaj se sirf kuchh saal pahle ye baat hai

    āsmān jab zamīñ par nahīñ thā

    ḳhudā ek aḳhbār thā aur aḳhbār meñ

    totlī ainakoñ ke bure shahr zikr thā

    aur maiñ ne kahā thā

    agar merī nāpāk āñkhoñ almāriyoñ meñ kabhī

    duudh jaam dekho to āvāz denā

    chalā ā.ūñgā

    maiñ ḳhatarnāk chehroñ dushman nahīñ huuñ

    aaj raat aurat hai jis ne mujhe apnā beTā kahā hai

    alganī par paḌe saare kapḌoñ par ik dhuup jam ga.ī hai

    aur sabhī kaale bistar se lipTī huī titliyāñ uḌ ga.ī haiñ

    aaj raat aurat hai

    jis ke badan meñ mirā darmiyāna badan

    Doltā hai havāoñ sangat liye

    aaj raat

    hañste hue kyuuñ na pakḌeñ ḳhudā ko

    ḳhudā ek aḳhbār

    jis meñ sabhī totlī ainakoñ ke

    bure shahr zikr thā par vo aurat

    jo ik shahr se kam nahīñ hai

    mujhe apne siine bhārī chaTānoñ se Takrā ke

    har ek se kah rahī hai

    agar merī nāpāk āñkhoñ almāriyoñ meñ kabhī

    duudh jaam dekho to āvāz denā

    chalī ā.ūñgī

    maiñ ḳhatarnāk chehroñ dushman nahīñ huuñ

    aaj se sirf kuchh sal pahle ki ye baat hai

    aasman jab zamin par nahin tha

    KHuda ek aKHbar tha aur aKHbar mein

    totli ainakon ke bure shahr ka zikr tha

    aur main ne kaha tha

    agar meri napak aankhon ki almariyon mein kabhi

    dudh ka jam dekho to aawaz dena

    chala aaunga

    main KHatarnak chehron ka dushman nahin hun

    aaj ki raat aurat hai jis ne mujhe apna beTa kaha hai

    algani par paDe sare kapDon par ek dhup si jam gai hai

    aur sabhi kale bistar se lipTi hui titliyan uD gai hain

    aaj ki raat aurat hai

    jis ke badan mein mera darmiyana badan

    Dolta hai hawaon ki sangat liye

    aaj ki raat

    hanste hue kyun na pakDen KHuda ko

    KHuda ek aKHbar

    jis mein sabhi totli ainakon ke

    bure shahr ka zikr tha par wo aurat

    jo ek shahr se kam nahin hai

    mujhe apne sine ki bhaari chaTanon se Takra ke

    har ek se kah rahi hai

    agar meri napak aankhon ki almariyon mein kabhi

    dudh ka jam dekho to aawaz dena

    chali aaungi

    main KHatarnak chehron ki dushman nahin hun

    Source:

    1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 46)

    • Author: Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: 1972
      • Publisher: P.K. Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1972

    related content

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now