Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat ki haisiyat

Zebunnisaa Zaibii

aurat ki haisiyat

Zebunnisaa Zaibii

MORE BYZebunnisaa Zaibii

    maiñ aurat huuñ taḳhlīq-e-jahāñ ik sabab bhī huuñ

    maiñ bilkul be-talab huuñ aur zamāne talab bhī huuñ

    maiñ devī pyaar huuñ husn merā vasīla hai

    ḳhulūs-o-sādgī zevar vafā merā qabīla hai

    hunar jiine baḳhshā ilm parcham bhī lahrāyā

    pale haiñ god meñ merī jinhoñ ne martaba paayā

    vafādārī mohabbat faqat merā havāla hai

    mirī aqdār ham-sar faqat koh-e-himāla hai

    paḌhā hai 'mīr'-o-'ġhālib' 'ismat'-o-'manto' ko bhī maiñ ne

    ye rangoñ meñ basī har dāstāñ goyā likhī maiñ ne

    bahut farsūda rasmoñ par jalā.ī bhī ga.ī huuñ maiñ

    qadāmat ke tarīqoñ se satā.ī bhī ga.ī huuñ maiñ

    tijārat bhī mirī hotī rahī tohmat sahī maiñ ne

    guzārī hai bahut marmar ke goyā zindagī maiñ ne

    anā bheñT chaḌh kar aag ke sho.aloñ meñ jaltī huuñ

    zamīñ meñ dafn ho jaatī huuñ aur be-maut martī huuñ

    byāhī jaatī huuñ qur.ān se bhī maiñ yahāñ ab tak

    ki zinda hai yahāñ par kārobārī jahāñ ab tak

    bahut past huuñ aur lā.eq-e-dushnām huuñ maiñ

    zinā bil-jabr meñ bhī morid-e-ilzām huuñ maiñ

    maiñ insāñ huuñ farishta aur valī maiñ bhī nahīñ koī

    ḳhatā kartī huuñ gangā dhulī maiñ bhī nahīñ koī

    ki sabr-o-shukr se māmūr hai īsār se bhī dil

    magar āḳhir ko thak jaatā hai yuuñ āzār se bhī dil

    nahīñ darkār koī martaba daulat na zar mujh ko

    ḳhudāvandā mirī qurbāniyoñ de ajr mujh ko

    main aurat hun taKHliq-e-jahan ka ek sabab bhi hun

    main bilkul be-talab hun aur zamane ki talab bhi hun

    main dewi pyar ki hun husn hi mera wasila hai

    KHulus-o-sadgi zewar wafa mera qabila hai

    hunar jine ka baKHsha ilm ka parcham bhi lahraya

    pale hain god mein meri jinhon ne martaba paya

    wafadari mohabbat hi faqat mera hawala hai

    meri aqdar ka ham-sar faqat koh-e-himala hai

    paDha hai 'mir'-o-'ghaalib' 'ismat'-o-'manto' ko bhi main ne

    ye rangon mein basi har dastan goya likhi main ne

    bahut farsuda rasmon par jalai bhi gai hun main

    qadamat ke tariqon se satai bhi gai hun main

    tijarat bhi meri hoti rahi tohmat sahi main ne

    guzari hai bahut marmar ke goya zindagi main ne

    ana ki bhenT chaDh kar aag ke shoalon mein jalti hun

    zamin mein dafn ho jati hun aur be-maut marti hun

    byahi jati hun quran se bhi main yahan ab tak

    ki zinda hai yahan par karobari ka jahan ab tak

    bahut hi past hun aur laeq-e-dushnam hun main hi

    zina bil-jabr mein bhi morid-e-ilzam hun main hi

    main insan hun farishta aur wali main bhi nahin koi

    KHata karti hun ganga ki dhuli main bhi nahin koi

    ki sabr-o-shukr se mamur hai isar se bhi dil

    magar aaKHir ko thak jata hai yun aazar se bhi dil

    nahin darkar koi martaba daulat na zar mujh ko

    KHudawanda meri qurbaniyon ka de ajr mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now