Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat

Qasim Rasa

aurat

Qasim Rasa

MORE BYQasim Rasa

    havvā bhī hai mariyam bhī

    siitā rādhā

    ḳhadīja bhī hai

    aur fātima bhī hai

    raziya hai

    laxmī-bā.ī bhī hai

    hazāroñ ruup haiñ tere

    hazāroñ kul meñ ne

    kabhī autār janme haiñ

    kabhī haadī kabhī rahbar zamāne ko diye ne

    tire husn charchā zamīñ se āsmāñ tak hai

    muhāfiz bhī hai aur jananī bhī hai

    tahzīb

    aḳhlāq

    bhāshā

    mamtā

    tire fikr-o-amal kār-farmā.ī nirālī hai zamāne meñ

    aurat hai magar kyā shaan vaalī hai zamāne meñ

    tu hawwa bhi hai mariyam bhi

    tu hi sita tu hi radha

    KHadija bhi hai tu

    aur fatima bhi hai

    tu hi raziya hai

    laxmi-bai bhi tu hai

    hazaron rup hain tere

    hazaron kul mein tu ne hi

    kabhi autar janme hain

    kabhi hadi kabhi rahbar zamane ko diye tu ne

    tere hi husn ka charcha zamin se aasman tak hai

    muhafiz bhi hai aur janani bhi hai

    tahzib ki

    aKHlaq ki

    bhasha ki

    mamta ki

    tere fikr-o-amal ki kar-farmai nirali hai zamane mein

    tu aurat hai magar kya shan wali hai zamane mein

    Source:

    Kuchh Der Thahar Jao (Pg. 89)

    • Author: Qasim Rasa
      • Publisher: Neha Graphics, Gwalior
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now