Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

azm

MORE BYKailash Mahir

    ye go-dhūl belā

    fazā jaise ghar lauTtī gaay bhaiñsoñ revaḌ

    bahut nīm-jāñ

    ye sarsabz shāḳheñ jo din bhar kisī phuul taaj pahne hue

    raqs kartī rahīñ thak chukī haiñ

    abhī jaise sargoshiyāñ kar rahī haiñ

    siyāhī chaḌhtā samundar agar shab ga.e tak na utrā to kyā hai

    mirī god meñ ġhuncha-e-gul hañsegā

    udhar pau phaTegī

    ye go-dhul bela

    faza jaise ghar lauTti gay bhainson ka rewaD

    bahut nim-jaan

    ye sarsabz shaKHen jo din bhar kisi phul ka taj pahne hue

    raqs karti rahin thak chuki hain

    abhi jaise sargoshiyan kar rahi hain

    siyahi ka chaDhta samundar agar shab gae tak na utra to kya hai

    meri god mein ghuncha-e-gul hansega

    udhar pau phaTegi

    Source:

    Lamha Lamha Piyas (Pg. 54)

    • Author: Kailash Mahir
      • Publisher: Golden Publications, Delhi
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now