Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

b amman se KHitab

Bilqees Jamal Barelwi

b amman se KHitab

Bilqees Jamal Barelwi

MORE BYBilqees Jamal Barelwi

    ai ki terī zaat thī sarmāya-e-ilm-o-amal

    ai ki terā har irāda thā nihāyat aTal

    ai ki ik jauhar-e-teġh-e-dil-e-islām thī

    terī hastī yādgār-e-raunaq-e-ayyām thī

    tere siine meñ bharā thā bahr-e-islāmī josh

    tere a.azā meñ ravāñ thā ek dariyā-e-ḳharosh

    terī rag rag meñ vafūr-e-joshish-e-sailāb thā

    terā har jazba ziyā-e-gauhar-e-nāyāb thā

    terī hastī sham.a-e-himmat ke liye ā.īna thī

    zindagī terī charāġh-e-millat-e-derīna thī

    ne murda zindagī meñ ruuh taaza phūñk

    himmat-e-majbūr ko baḳhshī hai ne zindagī

    ek shuā-e-nayyar-e-āsūda-e-rif.at thī

    is ḳhizān-e-zīst meñ ik mādar-e-millat thī

    ne ramz-e-qalb-e-maḳhfī āshkārā kar diye

    ma.anī-e-ilm-o-amal parda se be-parda kiye

    mudda.ā-e-dil tirā ik gauhar-e-ummīd hai

    jo fazā-e-tār meñ ik sho.ala-e-ḳhurshīd hai

    terā har lamha munavvar har ghaḌī nayyar-ba-dosh

    zindagī terī rahe misl-e-charāġh-e-zau-farosh

    zulmat-e-millat meñ chamkā.e munavvar āftāb

    gulshan-e-ummīd meñ mahkā diye rangīñ gulāb

    imtihān-e-zīst meñ kis qadar kāmyāb

    har varaq terī kitāb-e-umr hai ḳhud kitāb

    aa sukūt-e-yās meñ mujh ko banā le rāz-dār

    aa rah-e-ummīd meñ mujh ko banā le kāmgār

    aa mire kānoñ meñ bhī vo rūh-e-pinhāñ phūñk de

    zindagī merī bhī ik maazī ā.īna bane

    aa 'jamāl'-e-zār ko bhī rāzdār-e-dil banā

    zindagī is bhī ik barq-e-dil-e-bismil banā

    ai ki teri zat thi sarmaya-e-ilm-o-amal

    ai ki tera har irada tha nihayat hi aTal

    ai ki tu ek jauhar-e-tegh-e-dil-e-islam thi

    teri hasti yaadgar-e-raunaq-e-ayyam thi

    tere sine mein bhara tha bahr-e-islami ka josh

    tere aaza mein rawan tha ek dariya-e-KHarosh

    teri rag rag mein wafur-e-joshish-e-sailab tha

    tera har jazba ziya-e-gauhar-e-nayab tha

    teri hasti shama-e-himmat ke liye aaina thi

    zindagi teri charagh-e-millat-e-derina thi

    tu ne murda zindagi mein ruh taza phunk di

    himmat-e-majbur ko baKHshi hai tu ne zindagi

    ek shua-e-nayyar-e-asuda-e-rifat thi tu

    is KHizan-e-zist mein ek madar-e-millat thi tu

    tu ne ramz-e-qalb-e-maKHfi aashkara kar diye

    mani-e-ilm-o-amal parda se be-parda kiye

    muddaa-e-dil tera ek gauhar-e-ummid hai

    jo faza-e-tar mein ek shoala-e-KHurshid hai

    tera har lamha munawwar har ghaDi nayyar-ba-dosh

    zindagi teri rahe misl-e-charagh-e-zau-farosh

    zulmat-e-millat mein chamkae munawwar aaftab

    gulshan-e-ummid mein mahka diye rangin gulab

    imtihan-e-zist mein tu kis qadar hi kaamyab

    har waraq teri kitab-e-umr ka hai KHud kitab

    aa sukut-e-yas mein mujh ko bana le raaz-dar

    aa rah-e-ummid mein mujh ko bana le kaamgar

    aa mere kanon mein bhi wo ruh-e-pinhan phunk de

    zindagi meri bhi ek mazi ka aaina bane

    aa 'jamal'-e-zar ko bhi raazdar-e-dil bana

    zindagi is ki bhi ek barq-e-dil-e-bismil bana

    Source:

    Aaina-e-Jamal (Pg. 41)

    • Author: Bilqees Jamal Barelwi
      • Publisher: Raziq-ul-Khairi
      • Year of Publication: 1933
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now