Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-shart-e-ustuwari

Sahir Ludhianvi

ba-shart-e-ustuwari

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    ḳhūn-e-jamhūr meñ bhīge hue parcham le kar

    mujh se afrād shāhī ne vafā māñgī hai

    sub.h ke nuur pe ta.azīr lagāne ke liye

    shab sañgīn siyāhī ne vafā māñgī hai

    aur ye chāhā hai ki maiñ qāfila-e-ādam ko

    Tokne vaalī nigāhoñ madad-gār banūñ

    jis tasavvur se charāġhāñ hai sar-e-jāda-e-zīst

    us tasavvur hazīmat gunahgār banūñ

    zulm parvarda qavānīn ke aivānoñ se

    beḌiyāñ taktī haiñ zanjīr sadā detī hai

    tāq-e-tādīb se insāf ke but ghūrte haiñ

    masnad-e-adl se shamshīr sadā detī hai

    lekin ai azmat-e-insāñ ke sunahre ḳhvābo

    maiñ kisī taaj satvat parastār nahīñ

    mere afkār unvān-e-irādat tum ho

    maiñ tumhārā huuñ luTeroñ vafādār nahīñ

    KHun-e-jamhur mein bhige hue parcham le kar

    mujh se afrad ki shahi ne wafa mangi hai

    subh ke nur pe tazir lagane ke liye

    shab ki sangin siyahi ne wafa mangi hai

    aur ye chaha hai ki main qafila-e-adam ko

    Tokne wali nigahon ka madad-gar banun

    jis tasawwur se charaghan hai sar-e-jada-e-zist

    us tasawwur ki hazimat ka gunahgar banun

    zulm parwarda qawanin ke aiwanon se

    beDiyan takti hain zanjir sada deti hai

    taq-e-tadib se insaf ke but ghurte hain

    masnad-e-adl se shamshir sada deti hai

    lekin ai azmat-e-insan ke sunahre KHwabo

    main kisi taj ki satwat ka parastar nahin

    mere afkar ka unwan-e-iradat tum ho

    main tumhaara hun luTeron ka wafadar nahin

    Source:

    Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 142)

    • Author: SAHIR LUDHIANVI
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now