aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baad ke baad

Nasreen Anjum Bhatti

baad ke baad

Nasreen Anjum Bhatti

MORE BYNasreen Anjum Bhatti

    sahīfe utarne se pahle aur nabiyoñ ke nuzūl ke ba.ad

    haath se gire hue nivāloñ tarah hameñ kuttoñ ke aage Daal diyā jaatā rahā

    is darmiyān, āñkhoñ ke nīche ham ne apne haath rakhe

    ki vo paaoñ par na gir paḌeñ aur kāñch e'tibār jaatā rahe

    mujhe aag se likh aur paanī se ugā

    miTTī ke saath insāf maiñ ḳhud karūñgī

    vo to qadam qadam kāñToñ baaḌ tak ḳhud chal kar ga.e

    aag pahnāvā karte the jo log

    aur jo akelā thā us ne sargoshī ījād

    aur jis ne qabīla chāhā us ne chīḳheñ banā.īñ aur raat ke parindoñ meñ baañT diiñ

    pardesī hue haath kūñjeñ pakaḌte rah ga.e

    havā bichhaunā judā.ī uñgliyoñ ne bunā aur mohabbat karne vaale dil ne sameTā

    kyā paañv jūtoñ ke liye bane the manziloñ ke liye?

    phir thakan ne kis ke paañv toḌe

    aur kaun asiir kiyā ki us se jūtoñ qīmat pūchhe aur insān ke bhaav batā.e

    phir e'tibār ne kis ke Taḳhne kaaTe ki vo āsmān samet zamīn par aa rahe

    ḳhudāvand! bhiil qabīle ke log gosht khānā kab sīkhe

    jab un ke muñh ko ḳhuun aur dil ko ḳhauf-e-ḳhudā lag gayā

    phir is ke ba.ad vo sar na uThā sake

    āzādī sirf ek ThanDī saañs thī maqdūr-bhar

    aur ġhulāmī! umr bhar roTiyāñ!!

    sahife utarne se pahle aur nabiyon ke nuzul ke baad

    hath se gire hue niwalon ki tarah hamein kutton ke aage Dal diya jata raha

    is darmiyan, aankhon ke niche hum ne apne hath rakhe

    ki wo paon par na gir paDen aur kanch ka e'tibar jata rahe

    mujhe aag se likh aur pani se uga

    miTTi ke sath insaf main KHud karungi

    wo to qadam qadam kanTon ki baD tak KHud chal kar gae

    aag pahnawa karte the jo log

    aur jo akela tha us ne sargoshi ijad ki

    aur jis ne qabila chaha us ne chiKHen banain aur raat ke parindon mein banT din

    pardesi hue hath kunjen pakaDte rah gae

    hawa ka bichhauna judai ki ungliyon ne buna aur mohabbat karne wale dil ne sameTa

    kya panw juton ke liye bane the ya manzilon ke liye?

    phir thakan ne kis ke panw toDe

    aur kaun asir kiya ki us se juton ki qimat puchhe aur insan ke bhaw batae

    phir e'tibar ne kis ke TaKHne kaTe ki wo aasman samet zamin par aa rahe

    KHudawand! bhil qabile ke log gosht khana kab sikhe

    jab un ke munh ko KHun aur dil ko KHauf-e-KHuda lag gaya

    phir is ke baad wo sar na uTha sake

    aazadi sirf ek ThanDi sans thi maqdur-bhar

    aur ghulami! umr bhar ki roTiyan!!

    Source:

    Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 538)

    • Author: Naseer Ahmed Nasir
      • Edition: Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
      • Publisher: H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi
      • Year of Publication: Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now