shor machate uTThe baadal
zor lagate uTThe baadal
ab hain gore ab hain kale
ab hain lal aur ab maTiyale
kya kya rang badalte aae
pal mein hathi pal mein gay
pal mein rui ka ek Dher
pal mein bakri pal mein sher
abhi tha pao ab hai ser
abhi tha titar abhi baTer
ab ek saqqa mashk uThae
ab kashti si dauDi jae
daraKHt abhi tha ye pipal ka
aur ab hai ye phul kanwal ka
abhi abhi thi sanp ki chhatri
dhul hai ab ye atom bam ki
unT tha ab kohan uThae
ab hai kutta kan uThae
pal mein dauD lagata ghoDa
pura nahin par thoDa thoDa
ghoDa pighla ban gaya bagula
bagula phail ke bail mein badla
bail ek meinDak se Takraya
baadal ka meinDak Tarraya
ye sun kar nanha chillaya
baadal aaya baadal aaya