Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baadshah

Zeeshan Sahil

baadshah

Zeeshan Sahil

MORE BYZeeshan Sahil

    aap bādshāh haiñ

    hameñ bhuul kyuuñ nahīñ jaate

    ham bahut chhoTe haiñ

    hamārī zindagī

    ham se bhī ziyāda chhoTī hai

    aap agar chāheñ

    to use apne juute ke

    agle hisse ke nīche mukammal kar sakte haiñ

    magar aap ne to hameñ

    apne juute meñ nikal aane vaalī kiil

    samajh liyā hai

    aap ḳhayāl

    kaise ġhalat ho saktā hai

    aap bādshāh haiñ

    agar aap ko ġhussa aa jaa.e

    to aap hañs sakte haiñ

    hameñ aur hamāre dostoñ ko

    hāthī ke pairoñ meñ baiThe dekh kar

    aap āsmān

    hamāre gharoñ par gir sakte haiñ

    jahāñ ham bedār hue the

    apne muñh meñ

    lakḌī chamcha le ke

    kisī bādshāh se ziyāda

    bādshāh

    aap baadshah hain

    hamein bhul kyun nahin jate

    hum bahut chhoTe hain

    hamari zindagi

    hum se bhi ziyaada chhoTi hai

    aap agar chahen

    to use apne jute ke

    agle hisse ke niche mukammal kar sakte hain

    magar aap ne to hamein

    apne jute mein nikal aane wali kil

    samajh liya hai

    aap ka KHayal

    kaise ghalat ho sakta hai

    aap baadshah hain

    agar aap ko ghussa aa jae

    to aap hans sakte hain

    hamein aur hamare doston ko

    hathi ke pairon mein baiThe dekh kar

    aap aasman hi

    hamare gharon par gir sakte hain

    jahan hum bedar hue the

    apne munh mein

    lakDi ka chamcha le ke

    kisi baadshah se ziyaada

    baadshah

    Source:

    saarii nazmen (Pg. 128)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now