Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barish ka pahla qatra

Ismail Merathi

barish ka pahla qatra

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    ghanghor ghaTā tulī khaḌī thī

    par buuñd abhī nahīñ paḌī thī

    har qatra ke dil meñ thā ye ḳhatra

    nāchīz huuñ maiñ ġharīb qatra

    tar mujh se kisī lab na hogā

    maiñ aur guuñ na aap jogā

    kyā khet maiñ bujhā.ūñgā pyaas

    apnā karūñgā satyānās

    ḳhālī hāthoñ se kyā saḳhāvat

    phīkī bātoñ meñ kyā halāvat

    kis birte pe maiñ karūñ dilerī

    maiñ kaun huuñ kyā bisāt merī

    har qatra ke dil meñ thā yahī ġham

    sargoshiyāñ ho rahī thiiñ bāham

    khichḌī ghaTā meñ pak rahī thī

    kuchh kuchh bijlī chamak rahī thī

    ik qatra ki thā baḌā dilāvar

    himmat ke muhīt shanāvar

    faiyyaz o javvād o nek-niyyat

    bhaḌkī us rag-e-hamiyyat

    bolā lalkār kar ki aao!

    mere pīchhe qadam baḌhāo

    kar guzro jo ho sake kuchh ehsān

    Daalo murda zamīn meñ jaan

    yāro! ye hachar-machar kahāñ tak

    apnī karo bane jahāñ tak

    mil kar jo karoge jāñ-fishānī

    maidān pe pher doge paanī

    kahtā huuñ ye sab se barmalā maiñ

    aate ho to aao lo chalā maiñ

    ye kah ke vo ho gayā ravāna

    ''dushvār hai pe khel jānā''

    har-chand ki thā vo be-bizā.at

    us ne magar baḌī shujā.at

    dekhī jur.at jo us sakhī

    do-chār ne aur pairvī

    phir ek ke ba.ad ek lapkā

    qatra qatra zamīñ pe Tapkā

    āḳhir qatroñ bañdh gayā taar

    bārish lagī hone moslā-dhār

    paanī paanī huā bayābāñ

    sairāb hue chaman ḳhayābāñ

    thī qaht se pā.emāl ḳhilqat

    is meñh se huī nihāl ḳhilqat

    jur.at qatra kar ga.ī kaam

    baaqī hai jahāñ meñ aaj tak naam

    ai sāhibo! qaum ḳhabar lo

    qatroñ ittifāq kar lo

    qatroñ se hogī nahr jaarī

    chal nikleñgī kashtiyāñ tumhārī

    ghanghor ghaTa tuli khaDi thi

    par bund abhi nahin paDi thi

    har qatra ke dil mein tha ye KHatra

    nachiz hun main gharib qatra

    tar mujh se kisi ka lab na hoga

    main aur ki gun na aap joga

    kya khet ki main bujhaunga pyas

    apna hi karunga satyanas

    KHali hathon se kya saKHawat

    phiki baaton mein kya halawat

    kis birte pe main karun dileri

    main kaun hun kya bisat meri

    har qatra ke dil mein tha yahi gham

    sargoshiyan ho rahi thin baham

    khichDi si ghaTa mein pak rahi thi

    kuchh kuchh bijli chamak rahi thi

    ek qatra ki tha baDa dilawar

    himmat ke muhit ka shanawar

    faiyyaz o jawwad o nek-niyyat

    bhaDki us ki rag-e-hamiyyat

    bola lalkar kar ki aao!

    mere pichhe qadam baDhao

    kar guzro jo ho sake kuchh ehsan

    Dalo murda zamin mein jaan

    yaro! ye hachar-machar kahan tak

    apni si karo bane jahan tak

    mil kar jo karoge jaan-fishani

    maidan pe pher doge pani

    kahta hun ye sab se barmala main

    aate ho to aao lo chala main

    ye kah ke wo ho gaya rawana

    dushwar hai ji pe khel jaana

    har-chand ki tha wo be-bizaat

    ki us ne magar baDi shujaat

    dekhi jurat jo us sakhi ki

    do-chaar ne aur pairwi ki

    phir ek ke baad ek lapka

    qatra qatra zamin pe Tapka

    aaKHir qatron ka bandh gaya tar

    barish lagi hone mosla-dhaar

    pani pani hua bayaban

    sairab hue chaman KHayaban

    thi qaht se paemal KHilqat

    is meinh se hui nihaal KHilqat

    jurat qatra ki kar gai kaam

    baqi hai jahan mein aaj tak nam

    ai sahibo! qaum ki KHabar lo

    qatron ka sa ittifaq kar lo

    qatron hi se hogi nahr jari

    chal niklengi kashtiyan tumhaari

    Source:

    intekhab-e-sukhan (Pg. 48)

    • Author: Ibne Kanwal
      • Edition: 2005-2008
      • Publisher: Kitabi Duniya
      • Year of Publication: 2005-2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now