Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat nahin ho sakti

Mohammad Anvar Khalid

baat nahin ho sakti

Mohammad Anvar Khalid

MORE BYMohammad Anvar Khalid

    vo jo kahte haiñ kisī TeḌh binā koī baat nahīñ ho saktī

    so aan aan meñ Dor palaT kar māhī-gīr pe aan paḌī

    unhī mausam meñ koī tum dariyā paar se aayā thā

    aur saarī bastī roī thī

    us din bastī meñ rone vāloñ din thā aur tum ne kahā thā

    ye log samundar math kar piite the ab rote haiñ

    aur tum ne kahā thā

    un logoñ se to sāhil par kho jaane vaale bachche achchhe haiñ

    jo ret pe khelte khel ko paanī kar dete haiñ

    so TeḌh meñ tum ne baat kahī

    un logoñ se to sāhil par kho jaane vaale bachche achchhe haiñ

    vo jo kahte haiñ har baat meñ koī TeḌh ho to behtar hai

    un logoñ se sar-e-shām milo to baat nahīñ ho saktī

    aur din meñ un ke saath ka.ī dorāhe chalte haiñ

    aur raat meñ un ke ghar bas niiñd saudā ho saktā hai

    aur niiñd kaddū bel hai suukh ga.ī to sāhil par paiġhambar bacha rah jaatā hai

    so TeḌh meñ tum ne baat kahī

    ab paiġhambar se baat nahīñ ho saktī

    vo jo kahte haiñ kisī TeḌh binā koī baat nahīñ ho saktī

    so aan aan meñ Dor palaT kar māhī-gīr par aan paḌī

    wo jo kahte hain kisi TeDh bina koi baat nahin ho sakti

    so aan ki aan mein Dor palaT kar mahi-gir pe aan paDi

    unhi mausam mein koi tum sa dariya par se aaya tha

    aur sari basti roi thi

    us din basti mein rone walon ka din tha aur tum ne kaha tha

    ye log samundar math kar pite the ab rote hain

    aur tum ne kaha tha

    un logon se to sahil par kho jaane wale bachche achchhe hain

    jo ret pe khelte khel ko pani kar dete hain

    so TeDh mein tum ne baat kahi

    un logon se to sahil par kho jaane wale bachche achchhe hain

    wo jo kahte hain har baat mein koi TeDh si ho to behtar hai

    un logon se sar-e-sham milo to baat nahin ho sakti

    aur din mein un ke sath kai dorahe chalte hain

    aur raat mein un ke ghar bas nind ka sauda ho sakta hai

    aur nind kaddu ki bel hai sukh gai to sahil par paighambar bacha rah jata hai

    so TeDh mein tum ne baat kahi

    ab paighambar se baat nahin ho sakti

    wo jo kahte hain kisi TeDh bina koi baat nahin ho sakti

    so aan ki aan mein Dor palaT kar mahi-gir par aan paDi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now