Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bazar

MORE BYNazish Partap Gadhi

    Interesting Fact

    1949

    bol ai shā.ir ai naġhma-gar

    bechegā fan ko bechegā

    bol apne man ko bechegā

    apne shah-pāre bechegā apnī tahrīreñ bechegā

    ye apnī barahna-guftārī ye shola-bayānī bechegā

    ya.anī jo tire lafzoñ meñ hai ḳhanjar ravānī bechegā

    Dhaltā hai jo tere ḳhvāboñ meñ vo rang-e-bahārāñ bechegā

    paltā hai jo tere siine meñ vo ḳhūnīñ tūfāñ bechegā

    jo parda-e-mustaqbil meñ haiñ kyā vo tanvīreñ bechegā

    jin insānoñ ko jagātā hai un taqdīreñ bechegā

    fan tāsīr ko bechegā

    bechegā zamīr ko bechegā

    bol ai shā.ir ai naġhma-gar

    bechegā

    ham nukta-dān-e-fikr-o-nazar

    ham qadr-shanās-e-ilm-o-hunar

    terī ḳhidmat sila deñge terī mehnat samar deñge

    jīvan rātoñ meñ zar-kār ujālā kar deñge

    chāñdī ke khanakte sikkoñ se ham terī jebeñ bhar deñge

    bol ai shā.ir kyā kahtā hai

    kis duniyā meñ rahtā hai

    ai naġhma-gar

    in sūkhe hāthoñ se fan aivān sajā.egā kyūñkar

    fāqoñ ke añdhere meñ rah kar shah-kār banā.egā kyūñkar

    iflās ke aalam meñ kyūñ-kar rangīñ ġhazleñ likkhegā

    roTī ko tarastā rahtā hai kyā khā kar nazmeñ likhegā

    jiinā ho jo is duniyā meñ to phir bāzār meñ aa dūkān lagā

    kuchh dām-o-diram bāteñ kar bikne vaalā sāmān sajā

    haañ bech de apnī jur.at ko aa jā.egī chehre par surḳhī

    haañ bech qalam tāqat ko varna ye tujhe le Dūbegī

    is ek qalam zikr kyā insān ḳharīde haiñ ham ne

    maz.hab ke daam chukā.e haiñ īmān ḳharīde haiñ ham ne

    har shai nīlām pe chaḌhtī hai vo dhartī ho auj-e-falak

    har chiiz yahāñ bik jaatī hai miTTī se le kar mulk talak

    bhī apnā maal dikhā dekheñ tire palle meñ kyā hai

    kuchh ḳhuddārī kuchh bebākī kuchh haq-goī ḳhair achchhā hai

    jaldī se ye sab kuchh bech bhī de daam in girne vaalā hai

    phir koī na in ko pūchhegā

    hai vaqt abhī kar ke saudā bech aune-paune ye kuuḌā

    mauqa hai yahī raushan kar le mustaqbil apne bachchoñ

    ai ahmaq insāñ hosh meñ aa kuchh aql-o-ḳhirad bāteñ kar

    be-faiz na apnī mehnat kar be-kār na apnī rāteñ kar

    kuchh dhokā de kuchh ghāteñ kar

    ai naġhma-gar

    bechegā

    bechegā ḳhud ko bechegā

    ham tere ḳharīdār aa.e haiñ

    bol apnī qīmat kyā legā

    bol ai shair ai naghma-gar

    bechega fan ko bechega

    bol apne man ko bechega

    apne shah-pare bechega apni tahriren bechega

    ye apni barahna-guftari ye shola-bayani bechega

    yani jo tere lafzon mein hai KHanjar ki rawani bechega

    Dhalta hai jo tere KHwabon mein wo rang-e-bahaaran bechega

    palta hai jo tere sine mein wo KHunin tufan bechega

    jo parda-e-mustaqbil mein hain kya wo tanwiren bechega

    jin insanon ko jagata hai un ki taqdiren bechega

    fan ki tasir ko bechega

    bechega zamir ko bechega

    bol ai shair ai naghma-gar

    bechega

    hum nukta-dan-e-fikr-o-nazar

    hum qadr-shanas-e-ilm-o-hunar

    teri KHidmat ka sila denge teri mehnat ka samar denge

    jiwan ki raaton mein zar-kar ujala kar denge

    chandi ke khanakte sikkon se hum teri jeben bhar denge

    bol ai shair kya kahta hai

    tu kis duniya mein rahta hai

    ai naghma-gar

    in sukhe hathon se fan ka aiwan sajaega kyunkar

    faqon ke andhere mein rah kar shah-kar banaega kyunkar

    iflas ke aalam mein kyun-kar tu rangin ghazlen likkhega

    roTi ko tarasta rahta hai kya kha kar nazmen likhega

    jina ho jo is duniya mein to phir bazar mein aa dukan laga

    kuchh dam-o-diram ki baaten kar bikne wala saman saja

    han bech de apni jurat ko aa jaegi chehre par surKHi

    han bech qalam ki taqat ko warna ye tujhe le Dubegi

    is ek qalam ka zikr hi kya insan KHaride hain hum ne

    mazhab ke dam chukae hain iman KHaride hain hum ne

    har shai nilam pe chaDhti hai wo dharti ho ya auj-e-falak

    har chiz yahan bik jati hai miTTi se le kar mulk talak

    la tu bhi apna mal dikha dekhen tere palle mein kya hai

    kuchh KHuddari kuchh bebaki kuchh haq-goi KHair achchha hai

    jaldi se ye sab kuchh bech bhi de dam in ka girne wala hai

    phir koi na in ko puchhega

    hai waqt abhi kar ke sauda bech aune-paune ye kuDa

    mauqa hai yahi raushan kar le mustaqbil apne bachchon ka

    ai ahmaq insan hosh mein aa kuchh aql-o-KHirad ki baaten kar

    be-faiz na apni mehnat kar be-kar na apni raaten kar

    kuchh dhoka de kuchh ghaten kar

    ai naghma-gar

    bechega

    bechega KHud ko bechega

    hum tere KHaridar aae hain

    bol apni qimat kya lega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now