aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachat

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    inhī do se ābād har ik ghar hai

    kamānā hai fan aur bachānā hunar hai

    ye baat aaj sochnā hai zarūrī

    kise hai ḳhabar aane vaale dinoñ

    bure vaqt meñ kaam ā.eñge aksar

    rakhoge agar chaar paise bachā kar

    bachat se mil-jul ke bantī hai daulat

    bachat se baḌhtī hai mulkoñ tāqat

    ye fasleñ ye bāzār ye kār-ḳhāne

    bachat ne sañvāre haiñ bigḌe zamāne

    zarā ke ghar dekh lo chiyūñTiyoñ

    vo dānoñ kartī haiñ kaise zaḳhīra

    yūñhī qatra qatra samundar banegā

    yūñhī lamha lamha muqaddar banegā

    bachat jo bachpan se Dāloge aadat

    baḌe ho ke pāoge duniyā meñ rāhat

    inhi do se aabaad har ek ka ghar hai

    kamana hai fan aur bachana hunar hai

    ye baat aaj hi sochna hai zaruri

    kise hai KHabar aane wale dinon ki

    bure waqt mein kaam aaenge aksar

    rakhoge agar chaar paise bacha kar

    bachat hi se mil-jul ke banti hai daulat

    bachat hi se baDhti hai mulkon ki taqat

    ye faslen ye bazar ye kar-KHane

    bachat ne sanware hain bigDe zamane

    zara ja ke ghar dekh lo chiyunTiyon ka

    wo danon ka karti hain kaise zaKHira

    yunhi qatra qatra samundar banega

    yunhi lamha lamha muqaddar banega

    bachat ki jo bachpan se Daloge aadat

    baDe ho ke paoge duniya mein rahat

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now