Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachche ki fariyaad

Sajid Rais Warsi

bachche ki fariyaad

Sajid Rais Warsi

MORE BYSajid Rais Warsi

    ai ḳhudā kaash maiñ ḳhudā hotā

    aur phir mirī jagah hotā

    tujh ko kartā maiñ aise ghar paidā

    jis ghar ho na jis ke bhaa.ī bahan

    paidā karte tujh ko maiñ tere

    raat tarah kaale chehre par

    gahre chechak ke daaġh phailātā

    aur āñkheñ bhī chhīn letā maiñ

    log kahte ki koDiyā hai

    tere hone se chhe baras pahle

    baap bhī terā ḳhud-kushī kartā

    usī fōt-pāth par usī ghar meñ

    aur maañ terī peT ḳhātir

    bech kar jism apnā galiyoñ meñ

    tere aur apne peT ko bhartī

    log kahte ki hai nā-jā.ez

    kyā terā dil nahīñ taḌaptā phir

    aur maañ terī ta.ane sun sun kar

    tujh ko din-rāt kostī rahtī

    paidā hone se kaash pahle

    mere bachche mar gayā hotā

    ai ḳhudā kaash maiñ ḳhudā hotā

    ai KHuda kash main KHuda hota

    aur tu phir meri jagah hota

    tujh ko karta main aise ghar paida

    jis ka ghar ho na jis ke bhai bahan

    paida karte hi tujh ko main tere

    raat ki tarah kale chehre par

    gahre chechak ke dagh phailata

    aur aankhen bhi chhin leta main

    log kahte ki koDiya hai tu

    tere hone se chhe baras pahle

    bap bhi tera KHud-kushi karta

    usi foot-path par usi ghar mein

    aur man teri peT ki KHatir

    bech kar jism apna galiyon mein

    tere aur apne peT ko bharti

    log kahte ki tu hai na-jaez

    kya tera dil nahin taDapta phir

    aur man teri tane sun sun kar

    tujh ko din-raat kosti rahti

    paida hone se kash pahle hi

    mere bachche tu mar gaya hota

    ai KHuda kash main KHuda hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now