Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachchon ka dinner

Raja Mehdi Ali Khan

bachchon ka dinner

Raja Mehdi Ali Khan

MORE BYRaja Mehdi Ali Khan

    batā.ūñ khāyā hai kyā maiñ ne aaj do thappaḌ

    durust kar ke ga.e haiñ mizāj do thappaḌ

    hakīm nabz mirī dekh kar ye kahne lagā

    tire maraz hai aslī ilaaj do thappaḌ

    ye gaal gore the jo aaj laal laal hue

    ki in pe kar ga.e halkā massage do thappaḌ

    vo merā bhaa.ī hai us par bhī dhyān do ammī

    maiñ khā.ūñ chaar to khaa.e sirāj do thappaḌ

    na nāshta kare khaa.e na lunch aur dinner

    bajā.e khāne ke khaa.ī hai taaj do thappaḌ

    tamām din nahīñ kuchh kaam pīTne ke sivā

    hamārī ammī hai kaam kaaj do thappaḌ

    hamārī asl ḳhatā.eñ to vo batā na sakīñ

    par aapā de ke ga.iiñ ham ko byaaj do thappaḌ

    bahut ham to haiñ be-sharm haañ magar aksar

    hamāre chehre pe laa.e haiñ laaj do thappaḌ

    ye Dar hai maiñ jo baḌā ho ke bhī rahā jāhil

    na maar de mere muñh par samāj do thappaḌ

    bataun khaya hai kya main ne aaj do thappaD

    durust kar ke gae hain mizaj do thappaD

    hakim nabz meri dekh kar ye kahne laga

    tere maraz ka hai asli ilaj do thappaD

    ye gal gore the jo aaj lal lal hue

    ki in pe kar gae halka massage do thappaD

    wo mera bhai hai us par bhi dhyan do ammi

    main khaun chaar to khae siraj do thappaD

    na nashta kare khae na lunch aur dinner

    bajae khane ke khai hai taj do thappaD

    tamam din nahin kuchh kaam piTne ke siwa

    hamari ammi ka hai kaam kaj do thappaD

    hamari asl KHataen to wo bata na sakin

    par aapa de ke gain hum ko byaj do thappaD

    bahut hi hum to hain be-sharm han magar aksar

    hamare chehre pe lae hain laj do thappaD

    ye Dar hai main jo baDa ho ke bhi raha jahil

    na mar de mere munh par samaj do thappaD

    Source:

    Khilauna,New Delhi (Pg. 14)

      • Publisher: Mohammad Yunus Dehlavi
      • Year of Publication: 1960

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now