Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachchon se KHitab

Faiz Tabassum Tonsvi

bachchon se KHitab

Faiz Tabassum Tonsvi

MORE BYFaiz Tabassum Tonsvi

    zindagī naam hai taġhayyur

    gar taġhayyur na ho to ziist muhāl

    zarra zarra hai inqalāb-pazīr

    yahī fitrat aarzū kamāl

    rok le rāsta mashiyyat

    kis tāqat hai aur kis majāl

    ek gahrā rabt qaa.em hai

    darmiyān-e-rah-e-firāq-o-visāl

    log aate haiñ log jaate haiñ

    hai yahī apnī zindagī ma.aal

    jab taraqqī ke marhale hoñ tai

    mulk-o-millat lāzmī hai ḳhayāl

    tan pākīzgī bhī achchhī hai

    man pākīzgī hai husn-e-ḳhisāl

    mehr-o-ulfat dars aam kareñ

    bāñTne sab meñ hai ye āb-e-zulāl

    baḳhsh deñ gar koī kare taqsīr

    ye hai insāniyat auj-e-kamāl

    rāsta ho ġhalat to ruk jaao

    na chalo chaal jo ho TeḌhī chaal

    bhuul kar bhī na aisā kaam kareñ

    jis se hāsil ho ranj-o-huzn-o-malāl

    zindagi nam hai taghayyur ka

    gar taghayyur na ho to zist muhaal

    zarra zarra hai inqalab-pazir

    yahi fitrat ki aarzu ka kamal

    rok le rasta mashiyyat ka

    kis ki taqat hai aur kis ki majal

    ek gahra sa rabt qaem hai

    darmiyan-e-rah-e-firaq-o-visal

    log aate hain log jate hain

    hai yahi apni zindagi ka maal

    jab taraqqi ke marhale hon tai

    mulk-o-millat ka lazmi hai KHayal

    tan ki pakizgi bhi achchhi hai

    man ki pakizgi hai husn-e-KHisal

    mehr-o-ulfat ka dars aam karen

    banTne sab mein hai ye aab-e-zulal

    baKHsh den gar koi kare taqsir

    ye hai insaniyat ka auj-e-kamal

    rasta ho ghalat to ruk jao

    na chalo chaal jo ho TeDhi chaal

    bhul kar bhi na aisa kaam karen

    jis se hasil ho ranj-o-huzn-o-malal

    Source:

    Lauh-e-Ayyam (Pg. 113)

    • Author: Faiz Tabassum Tonsvi
      • Publisher: Faiz Academy, Karachi
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now