Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachpan

MORE BYKausar Jahan Kausar

    na.ī na.ī duniyā lagtī thī na.e na.e se log

    khiltī kaliyāñ sub.h savere kaise maddham maddham

    hairat hotī phuul pe kaise jam jaatī hai shabnam

    chiḌiyoñ āvāz sunātī ghuñgrū jaisī chham-chham

    bārish būñdeñ girtīñ peḌoñ pe rim-jhim rim-jhim

    bargad dāḌhī ko pakḌe bachche peñg baḌhāte

    kavve mainā koyal chiḌiyāñ mil kar shor machāte

    maañ ke hāthoñ ik ḳhushbū bastī thī roTī meñ

    binā shakkar lagtā thā mīThā ThanDā ThanDā paanī

    thā kitnā ma.asūm bachpan baat na ham ne jaanī

    vo panchhī mīThī āvāzeñ nuur ujlī bhor

    phisal ga.ī kyoñ haath se apne vo sapnoñ Dor

    nai nai duniya lagti thi nae nae se log

    khilti kaliyan subh sawere kaise maddham maddham

    hairat hoti phul pe kaise jam jati hai shabnam

    chiDiyon ki aawaz sunati ghungru jaisi chham-chham

    barish ki bunden girtin peDon pe rim-jhim rim-jhim

    bargad ki daDhi ko pakDe bachche peng baDhate

    kawwe maina koyal chiDiyan mil kar shor machate

    man ke hathon ki ek KHushbu basti thi roTi mein

    bina shakkar lagta tha miTha ThanDa ThanDa pani

    tha kitna masum sa bachpan baat na hum ne jaani

    wo panchhi miThi aawazen nur si ujli bhor

    phisal gai kyon hath se apne wo sapnon ki Dor

    Source:

    bachcho.n kii duniyaa jild 1 sh. 7 (Pg. 15)

      • Publisher: Director Qaumi Council Bara-e- Farogh-e-Urdu Zaban, New Delhi
      • Year of Publication: 2013

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now